waqt ki qadr

ai ki tu ghaflat mein hai duba hua
kaam karna sikh tujh ko kya hua

aadmi dat kar agar mehnat kare
phir kama le apna zar khoya hua

ghaur se dobara padh lene ke baad
yaad ho jae sabaq bhula hua

aur kamzori mein warzish ke tufail
khub mota ho badan sukha hua

lekin is duniya mein aisa kaun hai
waqt wapas lae jo guzra hua

jis ne apne farz ki parwa na ki
ek din pachhtaega rota hua

'faiz' manzil par pahunch sakta nahin
koi sidhi rah se bhatka hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close