ye chhoti si nadi to mahz nadi ki halki si jhalak hai nadi ka pura pat dekhna ho to mere dil mein utar kar dekho jahan se us ke sote phutte hain lekin mere dil se ek nahin kai nadiyon ke sote phutte hain kabhi kabhi ye sote khushk bhi ho jate hain aur dil mein dhul si udne lagti hai dil ek ret ke tile ki tarah dikhai dene lagta hai lekin ye ret to bas is ki upri satah hai is ki retili satah ke niche ek dariya hai jo aam taur par to khamosh rahta hai lekin kabhi kabhi tarang mein aa jae to gane bhi lagta hai kabhi kabhi us ka koi bol be-qabu ho kar ek naddi ka tassur deta hai aur ek tinka der tak us ki tarah par halkore leta rahta hai