waqt ne hum ko kis raste par la dala hai donon ek an-chahi ham-rahi ki suli le kar bojhal bojhal panw dharte jaen chalte jaen tu bhi aakhir insan hai tere pas bhi armanon ka resham hoga kabhi kabhi to tu bhi dard ki sui le kar koi lamha kadhti hogi chalte chalte kabhi kabhi koi bhiga pul gae dinon ke bahr mein tujh ko jal-thal karna hoga mere pas bhi khwabon ki kuchh dhajjiyan baqi hain main bhi akasr chalte chalte kho jata hun in dhajjiyon ko jodta rahta hun khud ko in mein dhundhta rahta hun kabhi kabhi bistar mein lete main ne apne aur tere mabain aise aise la-mutanahi dariya hael dekhe hain jin par kisi bhi rishte ka koi pul nahin banne pata ek aisi majbur si hamdardi ki dori mein hum donon bandhe hue hain jis mein hum ne samjhauton ki kitni ganthen dal rakhi hain waqt ka jabr bhi kaisa hai tujh ko tu nahin rahne deta mujh ko main nahin hone deta jismon ki yakjai kahin karta hai ruhen aur kahin chhod aata hai