jashn bapa hai kutiyaon mein unche aiwan kanp rahe hain mazduron ke bigde tewar dekh ke sultan kanp rahe hain jage hain iflas ke mare uthe hain be-bas dukhiyare sinon mein tufan ka talatum aankhon mein bijli ke sharare chauk chauk par gali gali mein surkh pharere lahraate hain mazlumon ke baghi lashkar sail-sifat umde aate hain shahi darbaron ke dar se fauji pahre khatm hue hain zati jagiron ke haq aur mohmal dawe khatm hue hain shor macha hai bazaron mein tut gae dar zindanon ke wapas mang rahi hai duniya ghasab-shuda haq insanon ke ruswa-bazari khatunen haqq-e-nisani mang rahi hain sadiyon ki khamosh zabanen sahr-e-nawai mang rahi hain rondi kuchli aawazon ke shor se dharti gunj uthi hai duniya ke ina-e-nagar mein haq ki pahli gunj uthi hai jama hue hain chaurahon par aa ke bhuke aur gadagar ek lapakti aandhi ban kar ek bhabakta shoala ho kar kandhon par sangin kudalen honton par bebak tarane dahqanon ke dil nikle hain apni bigdi aap banane aaj purani tadbiron se aag ke shoale tham na sakenge ubhre jazbe dab na sakenge ukhde parcham jam na sakenge raj-mahal ke darbanon se ye sarkash tufan na rukega chand kirae ke tinkon se sail-e-be-payan na rukega kanp rahe hain zalim sultan tut gae dil jabbaron ke bhag rahe hain zill-e-ilahi munh utre hain ghaddaron ke ek naya suraj chamka hai ek anokhi zau-bari hai khatm hui afrad ki shahi ab jamhur ki salari hai