wo ek ghadi bhi kabhi meri zindagi mein aai thi ittifaqan ki main kisi ka nahin tha mera koi nahin tha main lauh-e-mahfuz ki tarah tha samajh raha tha ki sari farda-o-di ki baaten hain zehn par naqsh-e-jawedan si wo sab hawadis jo aane wale hain lauh-e-dil par likhe hue hain main ab kisi ka nahin hun koi mera nahin hai agar tum us din zara si himmat se kaam letin zara sa tum mujh pe haq jatatin to zindagi ka wo mod hi kuchh ajib hota ufuq ke us par kaun jaane koi mere intizar mein kab tak apni aankhen lahu baha kar kharab karta