ab wo safar mein sath le jaane wale bistar-band ke kaam aati hai aur kabhi kabhi bachche apni tuti hui be-pahiyon ki gadi se use bandh dete hain bahut din pahle wo do dilon se bandhi thi jab chyuntiyan dikhati thin us par apni bazigari munh mein ghiza dabae idhar se udhar ithlati hui kabhi kabhi parinde apni apni udanon se thak kar us par baith jate the jab ye bhigti thi barishon mein senkti thi bahaaron ki dhup kabhi kabhi ye ban jati thi rang-bi-rang ke kapdon ki algani tuti hui rassi se jude dil ab kahan hain?