lo wo chah-e-shab se nikla pichhle-pahar pila mahtab zehn ne kholi rukte rukte mazi ki parina kitab yaadon ke be-mani daftar khwabon ke afsurda shahab sab ke sab khamosh zaban se kahte hain ai khana-kharab guzri baat sadi ya pal ho guzri baat hai naqsh-bar-ab ye rudad hai apne safar ki is aabaad kharabe mein dekho hum ne kaise basar ki is aabaad kharabe mein shahr-e-tamanna ke markaz mein laga hua hai mela sa khel-khilaunon ka har-su hai ek rangin gulzar khila wo ek baalak jis ko ghar se ek dirham bhi nahin mila mele ki saj-dhaj mein kho kar bap ki ungli chhod gaya hosh aaya to khud ko tanha pa ke bahut hairan hua bhid mein rah mili nahin ghar ki is aabaad kharabe mein dekho hum ne kaise basar ki is aabaad kharabe mein wo baalak hai aaj bhi hairan mela jun-ka-tun hai laga hairan hai bazar mein chup-chup kya kya bikta hai sauda kahin sharafat kahin najabat kahin mohabbat kahin wafa aal-aulad kahin bikti hai kahin buzurg aur kahin khuda hum ne is ahmaq ko aakhir isi tazabzub mein chhoda aur nikali rah mafar ki is aabaad kharabe mein dekho hum ne kaise basar ki is aabaad kharabe mein hont tabassum ke aadi hain warna ruh mein zahr-agin ghupe hue hain itne nashtar jin ki koi tadad nahin kitni bar hui hai hum par tang ye phaili hui zamin jis par naz hai hum ko itna jhuki hai aksar wahi jabin kabhi koi sifla hai aaqa kabhi koi abla farzin bechi laj bhi apne hunar ki is aabaad kharabe mein dekho hum ne kaise basar ki aabaad kharabe mein kale kos gham-e-ulfat ke aur main nan-e-shabina-ju kabhi chaman-zaron mein uljha aur kabhi gandum ki bu nafa-e-mushk-e-tatari ban kar liye phiri mujh ko har-su yahi hayat-e-saiqa-fitrat bani tattul kabhi numu kabhi kiya ram ishq se aise jaise koi wahshi aahu aur kabhi mar-mar ke sahar ki is aabaad kharabe mein dekho hum kaise basar ki is aabaad kharabe mein kabhi ghanim-e-jaur-o-sitam ke hathon khai aisi mat arz-e-alam mein khwar hue hum bigde rahe barson haalat aur kabhi jab din nikla to bit gae jug hui na raat har-su mah-wash sada qatil lutf-o-inayat ki saughat shabnam aisi thandi nigahen phulon ki mahkar si baat jun-tun ye manzil bhi sar ki is aabaad kharabe mein dekho hum ne kaise basar ki is aabaad kharabe mein rah-naward-e-shauq ko rah mein kaise kaise yar mile abr-e-bahaaran aks-e-nigaran khal-e-rukh-e-dil-dar mile kuchh bilkul mitti ke madho kuchh khanjar ki dhaar mile kuchh manjdhaar mein kuchh sahil par kuchh dariya ke par mile hum sab se har haal mein lekin yunhi hath pasar mile sirf un ki khubi pe nazar ki is aabaad kharabe mein dekho hum ne kaise basar ki is aabaad kharabe mein sari hai be-rabt kahani dhundle dhundle hain auraq kahan hain wo sab jin se jab thi pal-bhar ki duri bhi shaq kahin koi nasur nahin go hael hai barson ka firaq kirm-e-faramoshi ne dekho chat liye kitne misaq wo bhi hum ko ro baithe hain chalo hua qarza be-baq khuli to aakhir baat asar ki is aabaad kharabe mein dekho hum ne kaise basar ki is aabaad kharabe mein khwab the ek din auj-e-zamin se kahkashan ko chhu lenge khelenge gul-rang shafaq se qaus-e-quzah mein jhulenge baad-e-bahaari ban ke chalenge sarson ban kar phulenge khushiyon ke rangin jhurmut mein ranj-o-mehan sab bhulenge dagh-e-gul-o-ghuncha ke badle mahki hui khushbu lenge mili khalish par zakhm-e-jigar ki is aabaad kharabe mein dekho hum ne kaise basar ki is aabaad kharabe mein khwar hue damdi ke pichhe aur kabhi jholi-bhar mal aise chhod ke utthe jaise chhua to kar dega kangal syane ban kar baat bigadi thik padi sada si chaal chhana dasht-e-mohabbat kitna aabla-pa majnun ki misal kabhi sikandar kabhi qalandar kabhi bagula kabhi khayal swang rachae aur guzar ki is aabaad kharabe mein dekho hum ne kaise basar ki is aabaad kharabe mein zist khuda jaane hai kya shai bhuk tajassus ashk farar phul se bachche zohra-jabinen mard mujassam bagh-o-bahaar kiya hai ruh-e-arz ko aakhir aur ye zahrile afkar kis mitti se ugte hain sab jina kyun hai ek begar in baaton se qat-e-nazar ki is aabaad kharabe mein dekho hum ne kaise basar ki aabaad kharabe mein dur kahin wo koyal kuki raat ke sannate mein dur kachchi zamin par bikhra hoga mahka mahka aam ka bor bar-e-mashaqqat kam karne ko khaliyanon mein kaam se chur kam-sin ladke gate honge lo dekho wo subh ka nur chah-e-shab se phut ke nikla main maghmum kabhi masrur soch raha hun idhar udhar ki is aabaad kharabe mein dekho hum ne kaise basar ki is aabaad kharabe mein nind se ab bhi dur hain aankhen go ki rahin shab-bhar be-khwab yaadon ke be-mani daftar khwabon ke afsurda shahab sab ke sab khamosh zaban se kahte hain ai khana-kharab guzri baat sadi ya pal ho guzri baat hai naqsh-bar-ab mustaqbil ki soch, utha ye mazi ki parina kitab manzil hai ye hosh-o-khabar ki is aabaad kharabe mein dekho hum ne kaise basar ki is aabaad kharabe mein