teri duniya mein rah kar kya karenge khudaya umr bhar roya karenge mohabbat ka gila ulfat ka shikwa pata kya tha kahin aisa karenge rahi jab na khushi ki zindagi gar phir aisi zindagi ko kya karenge luta tha qafila dil ka hamara milega kya jo hum charcha karenge jigar mein dard lab par hae hae bhala is tarah ji kar kya karenge koi kaunain ki daulat se bhi hum mohabbat ka nahin sauda karenge nazar se ho to sakta hai pa nashad magar hum dil se kya parda karenge