unhen mujh se shikayat hai ki main mazi mein jiti hun mere ashaar mein aaseb hain guzre zamanon ke wo kahte hain ki yaaden sae ki manind mere sath rahti hain ye sach hai is se kab inkar hai mujh ko main aksar jagte din mein bhi aankhen mund leti hun koi surat koi aawaz koi zaiqa ya lams jab jadu jagata hai to gard-alud mina-taur taswiren achanak bolne lagti hain natak-manch sajta hai kisi tute hue sanduq mein rakkhe hue bosida makhtute se koi dastan tamsil ban jati hai ji uthte hain sab kirdar mazi ke sipahi baadshah khilat nawadir raqs-o-mausiqi kisi ke panw mein pael dhanak aanchal kisi shamshir ki bijli ghani barsat ki badli kisi bara-dari mein rag dipak ka kisi sehn-e-gulistan mein kadam ke ped par baithi hui chidiyan achanak jag jati hain kisi gumnam qasbe mein koi tuti hui mehrab khasta-haal-dewdhi ki jhalak madum kar deti hai hotel chae-khane bas ke adde dher kude ke kai sadiyan guzar jati hain sar se aur koi gum-gashta shahr-e-raftagan bedar hota hai isi manzar ka hissa ban ke main taswir ho jati hun kho jati hun mazi mein mein aksar aabna-e-waqt par kaghaz ki naw dal deti hun to pani apna rasta mod deta hai main jab chahun saloni sanwli nat-khat madhur yaaden utha laun ladakpan ke gharondon se main jab chahun to kali kothari mein qaid ranjida pasheman zakhm-khurda-saaton bite dinon ko pyar se chhu kar dilasa dun thapak kar loriyan dun khub roun khub roun shant ho jaun ye mazi mera mazi hai faqat mere tasarruf mein hai meri milkiyyat hai mera wirsa hai na mera haal par bas hai aur aane wala kal bhi kis ne dekha hai
This is a great rangmanch shayari. True lovers of pyar ka natak shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this sardar munda shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!