farogh-e-chashm hai taskin-e-dil hai be-guman urdu har ek aalam mein hai goya bahaar-e-gul-fishan urdu koi dekhe to is ki quwwat-e-takhliq ka aalam bana sakti hai zer-e-charkh lakhon aasman urdu muqallid jo nahin is ka wo pahunchega na manzil par sar-e-har-jada-e-manzil hai mir-e-karwan urdu muhafiz apni quwwat se hai tahzib-o-tamaddun ki na kyun ho irtiqa-e-zindagi ki raaz-dan urdu gulistan-e-adab mein jis qadar the muntashir jalwe munazzam kar chuki hai un ko misl-e-jism-o-jaan urdu faza-e-ilm-o-fan par ye misal-e-abr chhai hai mazaq-e-justuju ban kar rag-e-dil mein samai hai zabanen aur bhi duniya mein kuchh garmi-e-mahfil hain magar manzil hai urdu aur wo sab gard-e-manzil hain har ek andaz raushan har bayan pur-kaif hai is ka adaen jis qadar bhi hain wo sharh-e-jazba-e-dil hain zamin-e-sher is ki ek chaman-zar-e-mohabbbat hai hain jitne git wo sab naghma-e-fitrat ka hasil hai riyazi ho ki mantiq falsafa ho ya tasawwuf ho sab is ki bazm mein maujud hain aur jaan-e-mahfil hain mili hain jalwa-e-fitrat ki sab ranginiyan is ko muraqqe is ke sine se laga lene ke qabil hain riwaj is ka jahan ki wusaton mein be-takalluf hai ye pakiza zaban hai aur latif is ka tasarruf hai mita sakta hai kaun aisi zaban-e-pak-fitrat ko daya dars-e-wafa jis ne mazaq-e-mulk-o-millat ko jumud-e-zindagi mein hashr barpa kar diya is ne ata ki hain isi ne bijliyan ehsas-e-ulfat ko nizam-e-zindagani par bada ehsan hai is ka bahut aasaniyan is mein milen tabligh-e-fitrat ko rahe shan-e-talaqat lafz-o-mani hain ki gul-bute zahe auj-e-hazaqat jaan de di murda hikmat ko ye mumkin hai ki qaumon ko mita de gardish-e-alam magar koi mita sakta nahin urdu ki azmat ko har ek tahrik is ki tarjuman jazb-e-kaamil hai ki har aahang-e-urdu hamnawa-e-barbat-e-dil hai
This is a great urdu shayari mohabbat facebook. Please share if you liked this!!!