apne munh se kah rahi hai saf urdu ki zaban maulid-o-mawa hai mera kishwar-e-hindostan is ke afal-o-rawabit de rahe hain khud nishan kis tarah paida hui kyun kar badhi pal kar yahan roz afzun husn ka har daur ek sayyara hai hai dabistan lucknow dilli agar gahwara hai muddaton sarkar-e-dehli mein rahi ye baryab ab tak urdu-e-mualla hai wahi shahi khitab daur-daura lucknow mein bhi tha qabl-az-inqalab kar liya tha nukta-sanjon ne isi ko intikhab har ada-shirin mazaq-e-parsa-o-rind mein us ka tuti bolta tha sabza-zar-e-hind mein tajribe ki aankh se dekha jo is ko honhaar company ne kar liya apna sharik-e-karobar daftaron mein mahakmon mein badh gaya uzw-e-waqar jam gaya chalte hue sikkon pe naqsh-e-e'tibar jab queen-wictoriya ki ye saheli ho gai har zaban duniya mein is ki phir to cheli ho gai farsi hindi ki aamezish se hai is ka wajud yaadgar-e-ittihad-e-ahl-e-islam-o-hanud dhup chhan ke rang ki hai wo qaba-e-hast-o-bud kar-gah-e-hind se mansub jis ke tar-o-pud suft-o-sangin ya libas-e-ariyat barik hai jama-zebi se qad-e-mauzun par is ke thik hai thi mah-e-nau rafta rafta mah-e-kaamil ban gai shairana mahfilon mein sham-e-mahfil ban gai husn-e-fitrat ki ada-fahmi ke qabil ban gai jab zaban ki tez nashtar se rag-e-dil ban gai kya qayamat hai ki dil par kuchh asar lete nahin ho raha hai khun is ka tum khabar lete nahin khinch do uth kar qawaid se hisar-e-afiyat mil ke sab tayyar kar do jama o mane lughat dekhte ho aae din jo ho rahi hai is ki gat ek imarat hai hawa par ho muallaq jis ki chhat is tarah ilmi sutunon par ise qaem karo zalzala kaisa hi sakht aae magar jumbish na ho har zaban ka lafz khap jae ye wusat is mein hai har lughat ke jazb kar lene ki taqat is mein hai brij-bhasha mein hai jo lazzat wo lazzat is mein hai saf qand-e-farsi ki bhi halawat is mein hai ras juz shir-o-shakar koi nahin is ko khurish do zabanen chus kar pai hai is ne parwarish
This is a great urdu shayari mohabbat facebook. Please share if you liked this!!!