urdu nazm

dil-e-khawas hai ruh-e-awam hai urdu
zaban nahin hai mukammal nizam hai urdu

har ek maqam hai dar-ul-khilafa-e-urdu
aur is pe lutf ye hai be-maqam hai urdu

kamal-e-husn-o-fasahat jamal-e-nutq-o-bayan
ye muqtadi hain aur in ki imam hai urdu

ghazal-sara hai zamana hayat naghma-kunan
wazifa-e-sahar-o-roz-o-sham hai urdu

hamare shams-o-qamar is se nur pate hain
sahar ki jot tajalli-e-sham hai urdu

'nadim' chand pe bhi khak pad saki hai kabhi
sipahr-e-asr pe mah tamam hai urdu

hai talkh-kaami-e-dushman mein bhi isi ka surur
koi batao ki kis ja haram hai urdu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close