urdu zaban

charcha har ek aan hai urdu zaban ka
girwida kul jahan hai urdu zaban ka
is lashkari zaban ki azmat na pochhiye
azmat to khud nishan hai urdu zaban ka
gumnamiyon ki dhup mein jalta nahin kabhi
jis sar pe saeban hai urdu zaban ka
mashriq ka gulsitan ho ki maghrib ka aashiyan
viran kab makan hai urdu zaban ka
'sauda' wa 'mir' wa 'ghaalib' wa 'iqbaal' dekh lo
har ek pasban hai urdu zaban ka
urdu zaban mein hai ghuli shahd ki mithas
lahja bhi mehrban hai urdu zaban ka
tarwij de raha hai jo urdu zaban ko
be shak wo baghban hai urdu zaban ka
mehman kah raha hai bada khush-nasib hai
jo shakhs mezban hai urdu zaban ka
logo kahin bhi is mein pas-o-pesh kuchh nahin
ek mo'tarif jahan hai urdu zaban ka
boli hai rabte ki yahi jodti hai dil
har dil mein aisa man hai urdu zaban ka
wusat-pazir daman-e-urdu hai aaj bhi
har gosha ek jahan hai urdu zaban ka
karta hai aabiyari lahu se adib jo
wo dil hai jism-o-jaan hai urdu zaban ka
aain rukawaten jo taraqqi mein is ki kuchh
samjho ye imtihan hai urdu zaban ka
paega jald manzil-e-maqsud bil-yaqin
jari jo karwan hai urdu zaban ka
izzat sukhanwaran-e-adab ki isi hai
'shaer' bhi tarjuman hai urdu zaban ka
This is a great urdu shayari for her. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close