ek din jab tang mujh par ho gai arz-e-dakan tab muhajir ban ke nikla bandh kar sar se kafan kitne hi barson azab-e-ajnabiyyat bhi saha zehn-o-dil par jhelta hi rah gaya ranj-o-mehan muflisi mein bhi tawakkul par guzara yun kiya pairahan sabr-o-qanaat ka raha hai zeb-tan khak chhani dar-ba-dar ki thokaren khain bahut par mujhe masruf rakhti thi sada fikr-e-sukhan fikr-e-duniya se bhi aksar mil hi jati thi najat fikr-e-uqba mein jo rahta main ibaadat mein magan hath mein dhaga tha chhota aur sui thi badi main rafu bhi kar nahin sakta tha apna pairahan dekh kar mashq-e-sukhan meri sukhan-fahmon ne jab kar liya mujh be-watan ko bhi sharik-e-anjuman phir to jaise rahmaton ke bab mujh par khul gae phir mujhe milti gai har sher par dad-e-sukhan haisiyat se bhi ziyaada izzat-o-shohrat mili rizq bhi bakhsha khuda ne ba-tufail-e-ilm-o-fan ab sabhon ko khush-o-khurram aur hansta dekhne waqf main ne kar diya hai apna tan man aur dhan aakhirat bhi bas isi tarah sanwar jae meri is lagan mein ta-dam-e-akhir rahunga main magan inkisari se zamin ko dekh kar chalta hun main main ne badla hai na badlunga kabhi apna chalan shairi ki har kaji dande se sidhi ho gai zehn ko mere moattar kar gaya kewde ka ban ghokaro ke chand kante zehn mein jab chubh gae fikr ke sab aable phute to ras aai chubhan taki meri shairi ki bhi zamin zarkhez ho dhumudi se bhi karunga iktisab-e-fikr-o-fan kuchh samajh mein hi nahin aata ki aakhir kya karun is budhape mein bhi mujh par hain fida kuchh gul-badan ai khuda kar le qubul ab 'khwah-makhwah' ki ye dua qaem-o-daem rahe zinda-dilon ki anjuman god mein apne sulane ke liye hi 'khwah-makhwah' khinch lai hai meri mitti mujhe apne watan