zara apni aankhen to dena ki dekhun tumhaari nazar se jahan-e-tamanna jahan log kahte hain nargis ne ek phul phir se jana hai hazaron baras ki saza jhel kar guman aur afshan ke rangon mein phir se bahaaron ki khushbu safar kar rahi hai ki lamhon ki lahron pe har su nai aarzu pur-fishan hai tamanna ki tanhaiyan muntazir hain ki shayad wahi waqt ka qafila phir mile jo un ko sula kar batae bina chal diya tha shukriya apni aankhen to lo hamein apni be-nuri achchhi hamein kya mila hazaron baras ka safar aur phir dida-war khud-nazar khud-girafta ye pani ke takhte pe latka hua phul guman aur afshan ke rangon ki hijrat ka taza nishan de gaya dagh-e-hijrat ki ek dukh bhari dastan ye chashm-e-tamanna khudaya khudi thi ki thi khud-numai ye phulon ki duniya bhi andher nagri hai andhon ki duniya hai be-nur-o-be-khauf insaf andha hai phulon ko phansi ke phande