bahut sambhaal ke rakkhen hain hum ne un waqton ki yaaden jo hamein maghmum rakhte the jo apne apne waqton mein hum par musallat rahe un dinon mein masrufiyat ke bawajud hum zindagi ko aise dekh rahe the jaise khud se kah rahe hon hum nahin ladna chahte un ke in iradon se jo hamein maliyamet karna chahte hain hum jaante the un ke iradon ke samne hamare irade un ka munh-tod jawab de sakte hain lekin hamari khamoshi ne un ko badhawa diya ye hamare ird-gard udasi ka daera tang karte rahe yahan tak ki hum is udasi ke aadi ho gae log kahte hain hum us waqt hamesha haalat-e-jang mein nazar aate the jhele hue dinon ko hum aaj bhi nahin bhule bahut saint kar rakhi hain hum ne un waqton ki yaaden apne asase mein apne purane sanduq mein ye shayad jab hum par koi jurm aaed ho raha ho ye hamari himayat mein purane sanduq se bahar aa jaen