ek ajab aag si hai sine mein jaise ho sina-e-shamshir ki aag ek ajab aag si hai baatin mein jaise ho nala-e-shabgir ki aag jaise ek shoala-e-jawwala falak ko chhu le sina-e-sard mein mere hai wahi aag abhi toda-e-barf se jo bujh na sake ban ke shoala ye badhi jati hai su-e-aflak uthi jati hai us ki zad mein hain ye ashya-e-nizam-e-alam bas ki ek khauf hai pahlu mein mere apni hi aag se afkar na jal jaen kahin sochta hun ki dua hi mangun mere aatish-kada-e-sina ko mera rab lutf-o-karam ka koi chashma kar de