ye jhuki-jhuki si nazar sanam

ye jhuki-jhuki si nazar sanam ye sawal hai ki jawab hai
jise aaj tak na main padh saka tera chehra aisi kitab hai

tu nazar na aae sanam agar to tadap uthen ye dil-o-jigar
teri justuju mein meri nazar phire be-qarar dagar-dagar

ki firaq mein tere ek pal mujhe sans lena 'azab hai
ye jhuki-jhuki si nazar sanam ye sawal hai ki jawab hai

teri aankh nam na kabhi bhi ho tujhe koi gham na kabhi bhi ho
tere husn ka jo jamal hai meri jaan kam na kabhi bhi ho

ki rahe sada hi khila-khila tere gal par jo gulab hai
ye jhuki-jhuki si nazar sanam ye sawal hai ki jawab hai

na to be-rukhi se yun pesh aa na to be-sabab mera dil dukha
badi jaan-lewa hain duriyan mere pas aa mere pas aa

yun ganwa na ai meri dil-ruba ye jo chaar din ka shabab hai
ye jhuki-jhuki si nazar sanam ye sawal hai ki jawab hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close