sada aa rahi hai mare dil se paiham ki hoga har ek dushman-e-jaan ka sar kham nahin hai nizam-e-halakat mein kuchh dam zarurat hai insan ki amn-e-alam fazaon mein lahraega surkh parcham sada aa rahi hai mere dil se paiham na zillat ke sae mein bachche palenge na hath apne qismat ke hathon malenge musawat ke dip ghar ghar jalenge sab ahl-e-watan sar utha ke chalenge na hogi kabhi zindagi waqf-e-matam fazaon mein lahraega surkh parcham