ek zaifa raste mein so rahi hai khak par murdani chhai hui hai chehra-e-ghamnak par aur kis mausam mein jab taun hai phaila hua zarra zarra hai waba ke khauf se simta hua raat aadhi aa chuki hai baam-o-dar khamosh hain ahl-e-daulat laila-e-ishrat se ham-aghosh hain is qayamat ki hai tari zulmat-e-haul-afrin shab ke dil mein subh ka goya tasawwur tak nahin pichhe pichhe aa raha hai kaun ye kya baat hai baj rahe hain kan uff kaisi bhayanak raat hai halqa-e-zulmat mein hai rahon ki sahmi raushni ya chamakti hain ghani jhadi se aankhen sher ki larza-bar-andam hai sehn-e-zamin ka arz-o-tul ho raha hai khak par napak ruhon ka nuzul aa rahi hain aasman se ye sadaen dam-ba-dam dekh asbab-e-halakat par na pad jae qadam baam-o-dar par maut ka parcham hai lahraya hua aa rahi hai har qadam par bu-e-anfas-e-waba raungte sare khade hain sans lena hai wabaal al-aman shor-e-sagan-e-rah o ghogha-e-shaghaal uf larazti khaufnak aawaz chaukidar ki nabz chhuti ja rahi hai gumbad-e-dawwar ki chupke chupke sans lene se ghuta jata hai dam rakh raha hun bolte zarron pe ruk ruk kar qadam ibrat o dahshat ka khanjar hai dil-e-ghamnak par hae ye be-dam pada hai kaun thandi khak par aah ai be-kas zaifa gham ki tadpai hui ai zamane ki jhinjhodi zar ki thukrai hui mere dil ke aaine ko kar raha hai chur chur tere sar par rahguzar ki shama ka halka sa nur ye tere sar ki safedi aur ye gard-e-malal mein to kya sharma raha hai khud khuda-e-zul-jalal bhuk ke lashkar ka hai rukh par tere gard-o-ghubar ahd-e-razzaqi ke mathe par araq hai aashkar tere bachche tere gardun ke sitare kya hue ai zaifa teri piri ke sahaare kya hue aah ai dukhiya ye kaisi paemali ho gai thokaren khane ko teri god khali ho gai so raha hai tera waris kis taraf pahne kafan dafn hai kis des mein tera urusi bankpan bazm-e-ishrat mein dulhan kis ne banaya tha tujhe byah kar kaun apne ghar mein aah laya tha tujhe khun rukh par daudta hoga teri aawaz se tujh ko pala hoga teri man ne kis kis naz se dalti hogi tujhe nahla-dhula kar sar mein tel bap ka dil khinchta hoga teri gudiyon ka khel pas ki tasir kyun chehre pe duni ho gai maika viran hua sasural suni ho gai chahne wale tere sab turbaton mein so gae khelti thi jin ghane baghon mein wo kya ho gae uf-ri mayusi kisi ka aasra rakhti nahin shubah hota hai ki tu shayad khuda rakhti nahin tu kahan ki rahne wali hai tera kya nam hai bol tu kis dil-nashin aaghaz ka anjam hai hind mein insaniyat ka daur hi baqi nahin dard ho kis tarah koi mard hi baqi nahin mard hi hote to karte bekason ka ehtiram mard hi hote to rah sakte the yun ban kar ghulam khidmat-e-aghyar se fursat koi pata nahin sach hai apnon par ghulamon ko taras aata nahin ai zaifa nang hai tu mulk-o-millat ke liye tu hai ek dhabba jabin-e-ahl-e-daulat ke liye ek khuli zillat hai adyan-o-milal ke waste tauq hai lanat ka tu ahl-e-duwal ke waste to waid-e-qahr hai arbab-e-ishrat ke liye bars ka ek dagh hai ru-e-hukumat ke liye mujh ko hairat hai ki tujh ko dekh kar zar-o-nizar gad nahin jate haya se hakiman-e-zi-waqar dekh kar tera dhala manka nahin hota hai chur gardanon ke kham ko sakhti bakhshne wala ghurur pad nahin jate ilahi sina-e-daulat mein dagh bujh nahin jate shabistan-e-imarat ke charagh apni tab-e-zar se ai sarmaya-daro! hoshiyar apne tajon ki chamak se taj-daro hoshiyar nilam-o-yaqut se shole bhadak uthne ko hain surkh dinaron mein angare dahak uthne ko hain farsh-e-gul walo zamin par log mahw-e-khwab hain khirmanon ke pasbanon bijliyan betab hain!!