har ek jism mera hai, har ek jaan meri ye khal-o-khad mere apne, ye aan-ban meri sitam to ye hai ki mazlum main hun zalim main har ek zakhm mujhi se hisab mangega har ek dagh meri aastin se jhankega hazar-ha meri peshaniyon ke chand bujhe hazar-ha mere lab ham-kanar-e-zahr hue hazar-ha mere jismon ki daliyan tutin hazar-ha meri aankhon ki mishalen dubin jahan pe aag lagi hai, wahan khilaune the jahan pe khak udi hai, wahan pe jhule the jahan pe sard hain sine wahan pe chaukhat thi jahan pe band hain aankhen wahan dariche the main is dhuen mein kahan apni lash ko dhundun main is hujum mein kaise shumar-e-zakhm karun sitam to ye hai ki mazlum main hun, zalim main har ek zakhm mujhi se hisab mangega! har ek dagh meri aastin se jhankega