mere mukhalif ne chaal chal di hai aur ab meri chaal ke intizar mein hai magar main kab se safed-khanon siyah-khanon mein rakkhe kale safed mohron ko dekhta hun main sochta hun ye mohre kya hain agar main samjhun ke ye jo mohre hain sirf lakdi ke hain khilaune to jitna kya hai haarna kya na ye zaruri na wo aham hai agar khushi hai na jitne ki na haarne ka hi koi gham hai to khel kya hai main sochta hun jo khelna hai to apne dil mein yaqin kar lun ye mohre sach-much ke baadshah o wazir sach-much ke hain payaade aur in ke aage hai dushmanon ki wo fauj rakhti hai jo ki mujh ko tabah karne ke sare mansube sab irade magar aisa jo man bhi lun to sochta hun ye khel kab hai ye jang hai jis ko jitna hai ye jang hai jis mein sab hai jaez koi ye kahta hai jaise mujh se ye jang bhi hai ye khel bhi hai ye jang hai par khiladiyon ki ye khel hai jang ki tarah ka main sochta hun jo khel hai is mein is tarah ka usul kyun hai ki koi mohara rahe ki jae magar jo hai baadshah us par kabhi koi aanch bhi na aae wazir hi ko hai bas ijazat ki jis taraf bhi wo chahe jae main sochta hun jo khel hai is mein is tarah usul kyun hai piyaada jo apne ghar se nikle palat ke wapas na jaane pae main sochta hun agar yahi hai usul to phir usul kya hai agar yahi hai ye khel to phir ye khel kya hai main in sawalon se jaane kab se ulajh raha hun mere mukhalif ne chaal chal di hai aur ab meri chaal ke intizar mein hai