ek doshiza sadak par dhup mein hai be-qarar chudiyan bajti hain kankar kutne mein bar bar chudiyon ke saz mein ye soz hai kaisa bhara aankh mein aansu bani jati hai jis ki har sada gard hai rukhsar par zulfen ati hain khak mein nazuki bal kha rahi hai dida-e-ghamnak mein ho raha hai jazb mahr-e-khun-chakan ke ru-ba-ru kankaron ki nabz mein uthti jawani ka lahu dhup mein lahra rahi hai kakul-e-ambar-sarisht ho raha hai kam-sini ka loch juzw-e-sang-o-khisht pi rahi hain surkh kirnen mahr-e-atish-bar ki nargisi aankhon ka ras mai champai rukhsar ki gham ke baadal khatir-e-nazuk pe hain chhae hue aariz-e-rangin hain ya do phul murjhae hue chithadon mein didani hai ru-e-ghamgin-e-shabab abr ke aawara tukdon mein ho jaise mahtab uf ye nadari mere sine se uthta hai dhuan aah ai aflas ke mare hue hindostan! husn ho majbur kankar todne ke waste dast-e-nazuk aur patthar todne ke waste fikr se jhuk jae wo gardan tuf ai lail o nahaar jis mein hona chahiye phulon ka ek halka sa haar aasman jaan-e-tarab ko waqf-e-ranjuri kare sinf-e-nazuk bhuk se tang aa ke mazduri kare us jabin par aur pasina ho jhalakne ke liye jo jabin-e-naz ho afshan chhidakne ke liye bhik mein wo hath utthen iltija ke waste jin ko qudarat ne banaya ho hina ke waste nazuki se jo utha sakti na ho kajal ka bar un subuk palkon pe baithe rah ka bojhal ghubar kyun falak majbur hon aansu bahane ke liye ankhdiyan hon jo dilon mein dub jaane ke liye muflisi chhante use qahr-o-ghazab ke waste jis ka mukhda ho shabistan-e-tarab ke waste fart-e-khushki se wo lab tarsen takallum ke liye jin ko qudarat ne tarasha ho tabassum ke liye nazninon ka ye aalam mathar-e-hind aah aah kis ke jaur-e-na-rawa ne kar diya tujh ko tabah? hun barasta tha kabhi din raat teri khak par sach bata ai hind tujh ko kha gai kis ki nazar bagh tera kyun jahannam ka namuna ho gaya aah kyun tera bhara darbar suna ho gaya sar-barahna kyun hai wo phulon ki chadar kya hui ai shab-e-tarik teri bazm-e-akhtar kya hui jis ke aage tha qamar ka rang phika kya hua ai urus-e-nau tere mathe ka tika kya hua ai khuda hindostan par ye nahusat ta-kuja? aakhir is jannat pe dozakh ki hukumat ta-kuja? gardan-e-haq par kharash-e-tegh-e-baatil ta-ba-kai? ahl-e-dil ke waste tauq-o-salasil ta-ba-kai? sar-zamin-e-rang-o-bu par aks-e-gulkhan ta-kuja? pak sita ke liye zindan-e-rawan ta-kuja? dast-e-nazuk ko rasan se ab chhudana chahiye is kalai mein to kangan jagmagana chahiye