hawa ne kunj-e-gum-gashta mein aa ke meri palkon par jami viraniyon ki khak ko jhada aur apni shabnam afshani se meri banjh palkon ko guhar-bari mein badla ye samajhti hai main us ke hath mein ungli thama kar phir kisi na-dida parbat ke safar ki zid karunga ta-abad ham-rah phirunga waqt ek disposable rishte ki surat hai jo istimal hota hai basar hota nahin mujhe takmil ki sarhad pe la ke raegani ki bashaarat di gai hai main jo reza reza malba banti aabaadi ka nauha-khwan hun mere hath ki khwahish qalam se, phul ki patti banana chahti hai magar main malbe ki inton ki ginti kar raha hun ghar ke virane mein baitha yaad aane wale lamhon ko bhulane ke liye dohra raha hun