kis nur ki majlis mein meri jalwagari haiShayari By 23 Apr 2021 04:39:51 PMMarsiyakis nur ki majlis mein meri jalwagari hai kis nur ki majlis mein meri jalwagari hai jis nur se pur-nur ye nur-e-nazari hai aamad hi mein hairan qayas-e-bashri hai [...] Continue Reading... Share on:
marsiya-e-sir-sayyad radif yeAdmin21 Jan 2020 09:26:45 PMMarsiyaarsh ke nuri zamin ke farsh par aane ko hain aur ek khaki ko sair-e-khuld dikhlane ko hain bagh-e-jannat ko sidhaara sayyad-e-ali-maqam rah mein us ki malaek nur barsane ko hain wae-hasrat chal diya duniya se wo mahbub-e-qaum aur jo baqi hain us ke hijr mein jaane ko hain saqi-e-marhum tere baada-khwaron ke liye khun-e-dil pine ko aur lakht-e-jigar khane ko hain gulshan-e-millat mein ghunchon ne abhi kholi thi aankh ek jhonke se khizan ke ab wo murjhane ko hain chhup gaya wo ru-e-rakhshan mehr-e-alam-tab ka ab shab-e-yalda ki har-su zulmaten chhane ko hain ai shah-e-be-taj wo matam ki tere dhum hai taj-daron ke alam is gham se jhuk jaane ko hain dasht mein dun lag rahi hai qais ke matam mein aaj aahuwan-e-najd ki aankhon mein ashk aane ko hain ek sine mein thi sayyad ke tadap islam ki hum musalman sab barae nam kahlane ko hain karwan-e-qaum ka hangama tere dam se tha ye na tha malum hazrat kuch farmane ko hain bosa-gah-e-qaum hoga tere sang-e-astan naqsh-e-pa par tere lakhon qafile aane ko hain har zaman in rahguzar ra karwan-e-digar ast kushtagan-e-ishq ra har lakht jaan-e-digar ast hae wo khurshid-e-anwar chehra-e-taban tera hae wo mah-e-munawwar aariz-e-rakhshan tera wo nigahen jaan-faza aur wo adaen dil-ruba wo jabin-e-dil-kusha wo dil-faroz unwan tera hae us rish-e-mubarak par wo barish nur ki sham-e-piri mein bayaz-e-subh nur-afshan tera hae wo jaan-e-basirat tera nurani dimagh hae wo kan-e-mohabbat sina-e-sozan tera wo teri shan-e-jalali wo tera roab-e-jamal pad gai jis par nazar tha banda-e-farman tera mehdi-o-mushtaq hamdam shibli-o-haali nadim aur zain-ul-abdin khasai-e-khasan tera baam-o-dar collage ke hain matam mein tere sar nigun marsiyan-khwan ban gaya har kakh-o-har-aiwan tera dil se khisht-o-sang ke collage mein uthti hai sada kya hua mir-e-imarat khana-e-viran tera ta-jahan mein hai tere nana ki ummat ko baqa qaum mein matam rahega sayyad-ahmad-khan tera banda-parwar waqt-e-rukhsat yaad farmaya na kyun nazir-e-mahjur tha wabasta-e-daman tera ai chaman paira-e-millat tere shauq-e-did mein tha nawa-sanj-e-fughan ye bulbul-e-bustan tera sar-ba-sahra ab rahenge aah diwane tere sham-e-turbat ka karenge tauf parwane tere hae bazm-e-qaum mein ab jalwa farmaega kaun mah ke manind haale mein nazar aaega kaun ai masiha qaum ke tujh bin izam-e-khasta ko qum-be-izni kah ke ab jumbish mein phir laega kaun dekh kar chitwan teri uthte the dil mein walwale is nigah-e-garm se ab dil ko garmaega kaun tha tera ru-e-munawwar ek najm-e-rahnuma ab wo nurani faza zulmat mein dikhlaega kaun us shua-e-ruh-parwar se phir ai mah-e-munir dil ke dariya mein wo raqs-e-mauj dikhlaega kaun khana-jangi har taraf hai mashar-e-islam mein hae tujh bin in ke ye uljhao suljhaega kaun dar-o-gir-e-dahr misl-e-arsa-e-shatranj hai yar-e-shatir ban ke is ki chaal batlaega kaun ghuggiyon ka rup bhar kar qaum ki stage par ma nami khwahem nang-o-nam ra gaega kaun ruth kar jata hai sayyad aao len is ko mana warna itni mushkilen aasan farmaega kaun dafn karna sahn mein collage ke sir-sayyad ki lash is khalilullah se kabe ko chhudwaega kaun yun to lakhon aaenge is najd mein aur jaenge sayyad ahmad sa junun-saman magar aaega kaun ai harifan aan qadah ba-shikast-o-an saqi numand jura-e-juz ashk-e-khun dar jam-e-ma baqi numand sayyad-e-marhum ummat ka bhala karta raha fikr-e-millat roz-o-shab subh-o-masa karta raha jo falah-e-qaum ki aai samajh mein us ki baat barmala kahta raha aur barmala karta raha thi use parwah-e-tahsin aur na kuchh nafrin ka dar us ko jo karna tha be-ru-o-riya karta raha na-saza sunta raha aur marhaba kahta raha kufr ke fatwon mein kaam islam ka karta raha gar hue nakaamiyon se hausle yaron ke past himmat-e-ali ka apni iqtiza karta raha qaum mein phir taza zauq-e-but-parasti dekh kar ek naya kaba aligarh mein bana karta raha ai ki collage ke ye qasr-o-khak-o-aiwan dekhiye kaam jo shahon ka tha so ye gada karta raha us ne ki islam aur auham-e-baatil mein tamiz zang se aaina-e-din ki jila karta raha kufr ke hamlon mein tha islam ki daim sipar aalam-e-ummat ye kar-e-ambiya karta raha shahid-e-urdu ki zulfon ke nikale pech-o-kham husn ke ghamzon ko fitrat-ashna karta raha ye chali thi ummat-e-marhum sail-e-ghadr mein maut ke tufan mein kar-e-nakhuda karta raha zindagi sayyad ki thi qalb-e-tapan ki zindagi thi jahan ki zindagi jaan-e-jahan ki zindagi chhup gaya wo mehr-e-taban bazm-e-dauran chhod kar matla-e-ummid ka tarik unwan chhod kar fasl-e-gul mein wo chala bazm-e-gulistan chhod kar shakh sare aarzu ke gul-ba-daman chhod kar nala-e-dil-doz sahn-e-bostan mein sar kiya bulbulan-e-zar ne daras-e-gulistan chhod kar aa liya sail-e-fana ne karwan salar ko qafile ko dasht-e-hirman mein pareshan chhod kar pir-e-kanan ki judai se jigar hai pash pash go chala hai misr mein wo mah-e-kanan chhod kar so gaya kunj-e-lahad mein shah-e-be-taj-o-sarir bagh-o-ragh-o-bargah-o-qasr-o-aiwan chhod kar faiz se tere rahi wabasta hasil ki ummid tishna-lab kahti na jae abr-e-naisan chhod kar ye to batla de ki hai kis ka sahaara qaum ko kaba-e-dil qibla-e-jaan tera daman chhod kar kaun hoga mard-e-maidan ab masaf-e-dahr ka hath mein kis ke chala hai go wo chaugan chhod kar banda-parwar ye junun-e-ishq ke shayan na tha sair-e-gulzar-e-iram khar-e-mughilan chhod kar gahe-gahe qaum ki haalat pe bhi karna nazar sair-e-jannat chhod kar gul-gasht-e-rizwan chhod kar is chaman mein ruh mandlati rahegi aap ki jaegi bulbul kahan bazm-e-gulistan chhod kar dar-e-fani ki hai 'nazir' garche fani zindagi kushtagan-e-ishq ki hai jawedani zindagi Continue Reading... Share on:
dasht-e-wigha mein nur-e-KHuda ka zuhur haiAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMMarsiyadasht-e-wigha mein nur-e-khuda ka zuhur hai dasht-e-wigha mein nur-e-khuda ka zuhur hai zarron mein raushni-e-tajalli-e-tur hai ek aaftab-e-rukh ki ziya dur dur hai koson zamin aks se dariya-e-nur hai allah-re husn tabqa-e-ambar-sarisht ka maidan-e-karbala hai namuna bahisht ka hairan zamin ke nur se hai charkh-e-lajward manind-e-kahruba hai rukh-e-aftab-e-zard hai ru-kash-e-faza-e-iram wadi-e-nabard uthta hai khak se tataq-e-nur ja-e-gard hairat se hamilan-e-falak un ko takte hain zarre nahin zamin pe sitare chamakte hain hai aab-e-nahr surat-e-aina jalwa-gar taban hai misl-e-chashma-e-khurshid har bhanwar lahren bisan-e-barq chamakti hain sar-ba-sar pani pe machhliyon ki thaharti nahin nazar ye aab-o-tab hai ki guhar aab aab hain dariya to aasman hain sitare hubab hain partaw-fagan hua jo rukh-e-qibla-e-anam mashhur ho gai wo zamin arsh-ehtisham aur sang-reze durr-e-najaf ban gae tamam sahra ko mil gaya sharaf-e-wadi-assalam kabe se aur najaf se bhi izzat siwa hui khak us zamin-e-pak ki khak-e-shifa hui phaila jo nur-e-mahr-e-imamat dam-e-zawal zarron se wan ke aankh milana hua muhaal sare nihaal faiz-e-qadam se hue nihaal akhtar bane jo phul to shakhen banin hilal patte tamam aaina-e-nur ho gae sahra ke nakhl sab shajar-e-tur ho gae ghul tha zahe husain ki shaukat zahe waqar goya khade hain jang ko mahbub-e-kirdgar rukh se ayan hai dabdaba-e-shah-e-zul-fiqar hai nur-e-haq jabin-e-munawwar se aashkar kyunkar chhupe na mah-e-do-hafta hijab se chauda tabaq mein nur hai us aaftab se ye ru-e-raushan aur ye gesu-e-mushk-e-fam yan sham mein to subh hai aur subh mein hai sham haale mein yun nazar nahin aata hai mah tamam qudarat khuda ki nur ka zulmat mein hai maqam zulfon mein jalwa-gar nahin chehra janab ka hai nisf shab mein aaj zuhur aaftab ka qurban kaman-e-abru-e-maula pe jaan o dil gar mah-e-nau kahen to hai tashbih mubtazil chashm-e-ghazal-e-dasht-e-khutan chashm se khajil dekha jise karam se khataen huin bahil putli bisan-e-qibla-numa be-qarar hai giryan hain wo ye gardish-e-lail o nahaar hai rukhsar hain ziya mein qamar se ziyaada-tar jin par thahar saki na kabhi shams ki nazar rish-e-mokhazzab aur ye rukh-e-shah-e-bahr o bar paida hain saf mani-e-wal-lailo-o-wal-qamar quran se ayan hai buzurgi imam ki khai qasam khuda ne isi subh o sham ki kis munh se kijiye lab-e-jaan-bakhsh ka bayan chusi jinhon ne ahmad mukhtar ki zaban kya durr-e-ab-dar hain is durj mein nihan goya ki motiyon ka khazana hai ye dahan zarre zamin pe aks se sare chamak gae jis waqt ye khile to sitar chamak gae sham-e-harim-e-lam-yazali tha gulu-e-shah tarik shab mein jaise huwaida ho nur-e-mah ai charkh-e-be-madar ye kaisa sitam hai aah shamshir-e-shimr aur mohammad ki bosa-gah jis par rasul honton ko malte hon pyar se kat jae karbala main wo khanjar ki dhaar se manzur yan thi madh-e-gulu-e-shah-e-umam yaad aa gai magar ye hadis-e-gham-o-alam masjid mein jalwa-gar the rasul-e-falak-hasham malte the zikr-e-haq mein lab-e-pak dam-ba-dam raushan the baam-o-dar rukh-e-raushan ke nur se aaina ban gai thi zamin tan ke nur se tha jo sutun ki rukn-e-risalat ka takiya-gah kursi bhi us ki pusht ki thi dhundhti panah tha jis hasir par wo do aalam ka baadshah hasrat se arsh karta tha us farsh par nigah auj-e-zamin bahisht-e-barin se do-chand tha mimbar ka nuh falak se bhi paya buland tha ashab-e-khas gird the anjum ki tarah sab taban tha bich mein wo mah-e-hashmi-laqab sar par malak-sifat magas-raan the do arab jibril tah kiye hue the zanu-e-adab khadim bilal-o-qumbar-e-gardun-asas tha nalain is ke pas asa us ke pas tha gesu the wo mufassir-e-wallail-iza-saja rukh se ayan the mani-e-washshams-o-wa-zzuha wo rish-e-pak aur rukh-e-sardar-e-ambiya goya dhara tha rehl pe quran khula hua odhe siyah aba jo wo aalam-panah tha kaba ka saf hajiyon ko ishtibah tha pahlu mein baadshah ke tha jalwa-gar wazir sardar-e-din ali-e-wali khalq ka amir donon jahan mein koi na donon ka tha nazir ahmad the aaftab to haidar mah-e-munir zahir mein ek nur ka do ja zuhur tha gar ghaur kijiye to wahi ek nur tha masruf-e-waz-o-pand the sultan-e-mashriqain jo ghar se nikle khelte zohra ke nur ain nana baghair donon nawason ko tha na chain badh jate the hasan kabhi aage kabhi husain kahte the dekhen kaun qadam jald uthata hai nana ke pas kaun bhala pahle jata hai wo gore gore chehron pe zulfen idhar udhar akhtar se wo chamakte hue kan ke guhar rashk-e-hilal tauq gale ghairat-e-qamar haikal pe naqsh nam khuda-e-jalil ke tawiz gardanon pe par-e-jibril ke masjid mein aae hanste hue jab wo gul-badan khushbu se sehan-e-masjid-e-jame bana chaman taslim ko husain se pahle jhuke hasan khush ho ke muskurane lage sarwar-e-zaman badh badh ke kham salam ko chhote bade hue baithe rahe rasul malak uth khade hue beton ko tha ali ka ishaara ki baith jao lazim nahin ki waz mein nana ko tum satao phaila ke hath bole mohammad ki aao aao shabbir ne kaha hamein pahle gale lagao bhai hasan jo aap ki godi mein aaen ge hum tum se nana jaan abhi ruth jaen ge bole hasan ki wah hamein aur karen na pyar iqrar ke chuke hain shahanshah-e-nam-dar bole ba-chashm-e-nam ye husain-e-falak-waqar dekhen to kaun kandhe pe hota hai ab sawar sab se siwa jo hain so hamin un ke pyare hain aage na badhiye aap ki nana hamare hain bhai se tab kaha ye hasan ne ba-iltifat be-wajh hum se ruthe ho tum ai niko-sifat nana hamare kya nahin sultan-e-kaenat hoti hai nagawar tumhein to zara si baat ghussa na itna chahiye khush-khu ke waste machle the yun hi bachcha-e-ahu ke waste ye sun ke munh ali ka lage dekhne rasul hans kar kaha ye donon hain mere chaman ke phul main chahta hun ek ki khatir na ho malul roenge ye to ghar se nikal aaegi butul howe na ranj mere kisi nur-e-ain ko tum lo hasan ko god mein main lun husain ko shabbar se phir ishaara kiya ho ke be-qarar ghussa na khao pahle tumhin ko karenge pyar phir bole dekh kar su-e-shabbir-e-nam-dar aa ai husain aa teri baaton ke main nisar chhati se hum lagaenge jaan apni jaan kar dekhen to pahle kaun lipatta hai aan kar daude ye baat sun ke barabar wo khush-sayar pas aae aaftab-e-risalat ke do qamar lipte husain hans ke idhar aur hasan udhar the panw zanuon pe to baala-e-dosh sar nana ke sath pyar mein donon ka sath tha gardan mein ek un ka aur un ka hath tha phir phir ke dekhte the shahanshah-e-mashriqain gah jaanib-e-hasan to kabhi jaanib-e-husain baithe jo zanuon pe wo zehra ke nur-e-ain tha tan ko lutf qalb ko rahat jigar ko chain jhuk jhuk ke munh rasul-e-zaman chumne lage in ka gala to un ka dahan chumne lage shabbir chahte the ki chumen mere bhi lab par kuchh gale ke boson ka khulta na tha sabab nana ke munh ke pas ye late the munh ko jab jhuk jhuk ke chumte the gala sayyad-e-arab bhai ko dekh kar jo hasan muskuraate the ghairat se un ki aankhon mein aansu bhar aate the utthe husain zanu-e-ahmad se khashm-gin ghusse se rang zard aur aankhon pe aastin rukh par pasina jism mein rasha jabin pa chin puchha kidhar chale to ye bole kahin nahin ghar mein akele tewari chadhae chale gae dekha na phir ke sar ko jhukae chale gae baitushsharf mein aae jo shabbir-e-nam-dar kurte ko munh pe rakh ke lage rone zar-zar daudin ye kah ke faima-zehra jigar-figar hai hai husain kya hua tu kyun hai ashk-bar tujh ko rula ke gham mein mujhe mubtala kiya qurban ho gai tujhe kis ne khafa kiya mera kaleja phahtta hai ai dilruba na ro zehra hazar jaan se tujh pe fida na ro sar mein na dard ho kahin ai mah-laqa na ro bas bas na ro husain bara-e-khuda na ro meri taraf to dekho ki betab hoti hun chadar se munh ko dhanp ke lo main bhi roti hun tu munh to khol ai mere shabbir-e-khush-khisal tar ho gae hain aansuon se gore gore gal mal mal ke pusht-e-dast se aankh karo na lal suljhaun aao uljhe hue gesuon ke baal ghar se gae the sath juda ho ke aae ho samjhi main kuchh hasan se khafa ho ke aae ho tum chup raho wo ghar mein to masjid se phir ke aaen guzri main khel se mere bachche ko kyun rulaen un se na boliyo wo tumhein lakh gar manaen lo aao jaane do tumhein chhati se hum lagaen wari agar hasan ne rulaya bura kiya puchhungi kya na main mere pyare ne kya kiya bole husain hum to hain is baat par khafa nana ne chume bhai ke hont aur mera gala tum amman-jaan munh ko to sungho mere zara kuchh bu-e-nagawar hai mere dahan mein kya bhai ke lab se apne labon ko milate hain ab hum na jaen ge hamein nana rulate hain munh rakh ke munh pe boli ye zehra jigar-figar bu-e-gulab aati hai ai mere gul-azar chuma agar gala to khafa ho na main nisar tum ko zaban chusate the mahbub-e-kirdgar ye mushk mein mahak na gul-e-yasman mein hai khush-bu usi dahan ki tumhaare dahan mein hai kahne lage husain ye man se ba-chashm-e-nam kya jaano tum hasan se hamein chahte hain kam ye kya unhin pe lutf-o-inayat hai dam-ba-dam malum ho gaya unhen pyare nahin hain hum ro ro ke aaj jaan hum apni ganwaenge pani na ab piyenge na khane ko khaenge ye baat sun ke ho gaya zehra ka rang faq boli pisar se ro ke wo bint-e-rasul-e-haq sadqe gai karo na kaleje ko mere shaq hai hai ye kya kaha mujhe hota hai ab qalaq mera lahu bahega jo aansu bahaoge kahe ko man jiyegi jo khana na khaoge ye kah ke odh li sar-e-pur-nur par rida moze pahan ke god mein shabbir ko liya dar tak gai jo ghar se wo dil-band-e-mustafa fizza ne badh ke buzar o salman ko di sada pesh-e-nabi husain ko godi mein lati hain hat jao sab ki fatima masjid mein aati hain allah-re aamad aamad-e-zehra ka bandobast saton falak the auj-e-sharafat se jis ke past ahmad ke gird-o-pesh se utthe khuda-parast insan to kya malak ko na thi qudarat-e-nishast aain to shad-shad rasul-e-zaman hue ghar mein khuda ke ek jagah panj-tan hue tazim-e-fatima ko uthe sayyad-ul-bashar dekha ki chashm-e-fatima hai aansuon se tar gham the husain dosh pe man ke jhukae sar tha ek hilal mahr ke pahlu mein jalwa-gar man kahti thi na rowo magar chup na hote the aankhen thin band hichkiyan le le ke rote the ghabra ke puchhne lage mahbub-e-zul-jalal rota hai kyun husain ye kya hai tumhaara haal bolin butul aaj qalaq hai mujhe kamal roya hai ye husain ki aankhen hain donon lal aate hain hanste rote hue ghar mein jate hain shafqat bhi aap hi karte hain aap hi rulate hain hathon ko jodti hun main ya shah-e-bahr-o-bar shafqat ki us ke haal pe har-dam rahe nazar rone se us ke hota hai tukde mera jigar mujh faqa-kash gharib ka pyara hai ye pisar haidar se puchhiye mere usrat ke haal ko kis kis dukhon se pala hai is naunihaal ko ashk us ke jitne tapke hain ya shah-e-nek-khu utna hi ghat gaya hai mere jism ka lahu roe hain phut phut ke ye mere ru-ba-ru tar ho gaya hai aansuon se chand sa gulu dekha na tha ye main ne jo haal is ka aaj hai hazrat to jaante hain ki nazuk mizaj hai shafqat se aaj aap ne chume hasan ke lab bosa liya na un ke labon ka ye kya sabab rutbe mein donon ek hain ya surwar-e-arab main sach kahun ye sun ke mujhe bhi hua ojab is ko jo ho khushi to dil is ka bhi shad ho chhote se chahiye ki mohabbat ziyaad ho aap un ke naz uthate hain ya shah-e-bahr-o-bar phir kis se ruthen aap se ruthen na ye agar aksar inhen chadhaya hai hazrat ne dosh par gesu diye hain nanhe se hathon mein besh-tar ruthe the ye so qadmon pe sar dharne aae hain munh ke na chumne ka gila karne aae hain ye kah ke phir husain se bolin ba-chashm-tar lo ja ke ab nabi ke qadam par jhukao sar aae husain hath jo nanhe se jod kar be-ikhtiyar rone lage sayyad-ul-bashar rah rah ke dekhte the ali o butul ko nazdik tha qalaq se ghash aae rasul ko thi aansuon se rish-e-mubarak tamam nam fart-e-buka se khak pa jhukte the dam-ba-dam gahe sutun se lag ke hue rast gah kham har lahza iztirab ziyaada tha sabr kam ho sakta tha na zabt shah-e-mashriqain se rote the bar bar lipat kar husain se shabbir ro ke kahte the nana na roiye roenge ab na hum shah-e-wala na roiye hilne lagega arsh-e-mualla na roiye phatta hai ab hamara kaleja na roiye sau bar din mein hum to munh ashkon se dhote hain hazrat hamare rone pe kahe ko rote hain ghabra gae ali-e-wali shah-e-bahr-o-bar ki arz fatima ne jhuka ke qadam pe sar beti nisar ho gai ya sayyad-ul-bashar kya wajh hai jo aap hain is tarah nauha gar jaldi bataiye ki mujhe tab ab nahin rona khuda ke dost ka ye be-sabab nahin hazrat ko ilm-e-ghaib hai ya shah-e-ins-o-jaan aainda o guzishta ka sab haal hai ayan kya aai aaj wahi-e-khudawand-e-do-jahan hona hai jo husain pe mujh se karo bayan faqon se katti hun musibat jahan ki kyun baba-jaan khair to hai is ki jaan ki bole jigar ko tham ke mahbub-e-zul-jalal tujh se suna na jaega ai fatima ye haal kis munh se main kahun ki qalaq hai mujhe kamal zehra shahid hue howenge tere ye donon lal matam ki ye khabar abhi jibril lae the sare malak husain ke purse ko aae the almas pi ke huega be-jaan tera hasan ye wajh hai ki chumta hun us ka main dahan bhar jaega kalejon ke tukdon se sab lagan hoga zamurradi tere is lal ka badan su-e-bahisht jab ye jahan se sidhaarenge bad-kesh tir is ke janaze pa marenge zehra mujhe kalam ki taqat nahin hai ab halq-e-husain chumne ka kya kahun sabab ek ban mein tin roz rahenge ye tishna-lab kat jaega gala yahi khanjar se hai ghazab neze pe sar chadhega tere nur-e-ain ka ghodon se raund dalenge lasha husain ka roe khabar ye kah ke jo mahbub-e-zul-minan ghabra ke munh husain ka takne lage hasan zehra pukari hae lutega mera chaman main mar gai duhai hai ya sarwar-e-zaman ye kaisi aag hai ki meri kokh jal gai hai hai chhuri kaleje pe zehra ke chal gai fariyaad ya-nabi shah-e-abrar al-ghiyas ai mursilan-e-haq ke madad-gar al-ghiyas ai be-kason ke waris o sardar ul-ghiyas qudarat hai sab tarah ki shah-e-mashriqain ko hazrat se lungi apne hasan aur husain ko kis jurm par ye lal mere qatl honge aah ro kar kaha rasul-e-khuda ne ki be-gunah ki arz fatima ne ki ai arsh-e-bar-gah bachchon ko mere kya na milegi kahin panah talwaren khench khench ke zalim jo aaenge hazrat na kya nawason ko apne bachaenge aasan hai kya jo qatl karenge sitam-shiar kya sher-e-haq kamar se na khinchenge zul-fiqar aada pe kya chalega na dast-e-khuda ka war baalon ko kya na kholegi zehra jigar figar tukde jigar jo huega mujh dil do-nim ka paya na kya hilaungi arsh-e-azim ka zehra se ro ke kahne lage shah-e-nek-khu beti mujhe sataenge turbat mein kina-ju is waqt qatl howenge ye donon mah-ru duniya mein jab na hoga ali aur na main na tu lashe pe mujtaba ke tu shabbir roega shabbir jab marega to koi na huega chillai sar patak ke ye zehra ki hai sitam pitega kaun tan se jo niklega us ka dam matam ki saf bichhaega kaun ai shah-e-umama purse ko kaun aaega us ke ba-chashm-e-nam hum mein se aise waqt jo koi na huega hai hai mere husain ko phir kaun roega bachche ki mere taziya-dari karega kaun munh dhanp dhanp girya-o-zari karega kaun dariya-e-ashk chashm se jari karega kaun imdad baad-e-marg hamari karega kaun hoga kahan nabi ke nawase ka fatiha sharbat pe kaun dewega pyase ka fatiha bole nabi ki aap ko zehra na kar halak farma chuka hai mujh se ye wada khuda-e-pak paida karenge qaum ek aisi ba-ru-e-khak jo raat din rahenge isi gham mein dard-nak bazm-e-aza mein aaenge wo dur dur se tan khak se banaenge dil un ke nur se hogi unhin se majlis-e-matam ki zeb-o-zain denge unhen wo lab ki rahe jis pe wa husain aankhen wo denge rone ko samjhen jo farz-e-ain hath aise ghair sina-zani ho jinhen na chain saman taziyat ke kabhi kam na howenge wo hashr tak husain ke matam mein roenge hoga ayan falak pe moharram ka jab hilal rakht-e-siyah pahnenge bar mein wo khush-khisal kholengi bibayan bhi sab apne saron ke baal har ghar mein hoga shor ki hai hai ali ka lal lenge sile mein khuld tere nur-e-ain se aansu aziz wo na karenge husain se pyasa shahid hoga jo tera ye dil-ruba momin sabilen rakkhenge pani ki ja-ba-ja howegi shad ruh shahidan-e-karbala bhar bhar ke aab-e-sard pukarenge barmala mahbub-e-kibriya ke nawase ki nazr hai pyase na jaiyo ki ye pyase ki nazr hai kahne lagi nabi se butul-e-falak-janab hai hai main kya karun mere dil ko nahin hai tab ai baadshah-e-kaun-o-makan malikur-riqab dargah-e-haq mein aap ki hai arz mustajab kije dua ki khaliq-e-akbar madad kare allah ye bala mere bachche ki rad kare beti se ro ke kahne lage shah-e-kaenat ruh-ul-amin ne mujh se to ye bhi kahi hai baat chaho to rad kare ye bala rabb-e-pak-zat lekin na huegi mere ummat ki phir najat mahbub-e-haq nisar tere nur-e-ain par mauquf hai ye amar to qatl-e-husain par allah-re sabr-e-mahbub-e-kirdgar ummat ka nam sun ke jhukaya sar ek bar khush-nud ho ke kahne lage shah-e-zul-fiqar sadqe hasan husain tasadduq ali nisar is rah mein na mal na daulat aziz hai pyare pisar nahin hamein ummat aziz hai kahne lage husain se phir shah-e-bahr-o-bar batla mujhe ki kya teri marzi hai ai pisar nana se bole chhote se hathon ko jod kar ummat ke kaam aae to hazir abhi hai sar wada ko hum na bhulenge go khurd-sal hain chhote nahin hain mukhbir-e-sadiq ke lal hain rote hain aap kis liye ya sayyad-e-umam raazi hain hum pe rah-e-khuda mein hon jo sitam talwaren bhi chalen to nahin marne ke dam ummat pe apne sar ko tasadduq karenge hum hum rast-go hain baat pe jis waqt aate hain kahte hain jo zaban se wahi kar dikhate hain bachpan mein jo zaban se kaha tha kiya wo kaam jis waqt ran mein tut pade shah pe fauj-e-sham gardan jhuka ke barchhiyan khaya kiye imam khun mein qaba rasul ki tar ho gai tamam teghen ali ke lal ke shane pe chal gain chhati ke par nezon ki noken nikal gain pheri na thi jo pusht-e-mubarak dam-e-masaf the do hazar zakhm faqat sar se ta-ba-naf sayyad se be-watan se zamana tha bar-khilaf ghul tha ki aaj hota hai ghar fatima ka saf sambhla na jaega khalaf-e-bu-turab se lo wo qadam husain ke nikle rikab se meinh ki tarah barasne lage shah-e-din pe tir tharra rahe the lag ke tan-e-naznin pe tir daman pe tir jaib pe tir aastin pe tir pahlu pe tegh sina pe neza jabin pe tir daghon se khun ke rakht-e-badan lala-zar tha shakl-e-zarih sina-e-aqdas figar tha tar thi lahu mein zulf-e-shikan-dar-shikan juda majruh lal-e-lab the juda aur dahan juda darpai the neza-dar juda teghzan juda kat kat ke ho gaya tha har ek uzw-e-tan juda si-para tha na sadr faqat us janab ka purze waraq-waraq tha khuda ki kitab ka karta tha war barchhiyon walon ka jab para teghon se dam bhi lene ki mohlat na thi zara nezon mein khun nabi ke nawase ka tha bhara shamshir-o-tir neza-o-khanjar ke mawara thin sakhtiyan sitam ki shah-e-khush-khisal par chalte the sang faima-zehra ke lal par the do hazar jism-e-shah-e-bahr-o-bar pe zakhm mathe pe zakhm tir ke teghon ke sar pe zakhm gardan pe zakhm sine pe zakhm aur kamar pe zakhm aur is ke mawara the bahattar jigar pe zakhm ghode pe gah sambhalte the gah dagmagate the ghash aata tha to hirne pe sar ko jhukate the ghode pe jab sambhalne ki mutlaq rahi na tab hathon se bag chhut gai aur panw se rikab girne laga jo khak pe wo aasman-janab marqad mein be-qarar hui ruh-e-bu-turab ghul tha ki khak par shah-e-kaun-o-makan gira bas ab zamin ulat gai aur aasman gira jalti hui zamin pe tadapne lage imam be-kas pe zalimon ne kiya aur izhdiham us waqt shimr se ye umar ne kiya kalam han tan se jald kat sar-e-sarwar-e-anam dariyo na sun ke faima-zehra ki aah ko gul kar de sham-e-qabr-e-risalat-panah ko ye sunte hi chadhai sitam-gar ne aastin khanjar kamar se khinch ke aage badha lin the qibla-ru jhuke hue sajde mein shah-e-din lab hilte dekhe shah ke aaya wo jab qarin samjha ki tishnagi se jo sadme guzarte hain us waqt bad-dua mujhe shabbir karte hain jhuk kar qarib kan jo laya to ye suna haq mein gunahgaron ke karte hain shah dua jari zaban-e-khushk pe ye hai ki ai khuda kar hajaton ko mere muhibbon ki to rawa shion ka hashr roz-e-jaza mere sath ho mera ye khun-baha hai ki un ki najat ho ye sun ke mustaid hua wo shah ke qatl par zanu rakha husain ke sine pa be-khatar gardan pe pherne laga khanjar jo bad-guhar aai sada ali ki ki hai hai mere pisar zehra pukari kuchh bhi nabi se hijab hai zalim ye bosa-gah-e-risalat-maab hai kyun zabh mere lal ko karta hai be-gunah kyun katta hai mere kaleje ko ru-siyah kashti ko ahl-e-bait-e-nabi ki na kar tabah main fatima hun arsh hilaegi meri aah huega hashr qatl jo ye be-watan hua ye mar gaya to khatma-e-panj-tan hua aawaz apni man ki ye zainab ne jab suni daudi nikal ke kheme se sar pitti hui dekha ki zabh karta hai hazrat ko wo shaqi sar pit kar ye kahne lagi wo jigar-jali hai hai na tin roz ke pyase ko zabh kar zalim na mustafa ke nawase ko zabh kar bano pukarti thi ye kya karta hai lain pyasa hai tin roz se haidar ka ja-nashin chillati thi sakina ki jine ki main nahin baba ko zabh karta hai kyun ai udu-e-din khanjar na pher chand si gardan pe rahm kar abba ko chhod de mere bachpan pe rahm kar zakhmon se chur chur hai zehra ka yaadgar jis chhati par mein soti thi us par hai to sawar baba ke halq par na phira ab chhuri ki dhaar badle pidar ke sar ko mare tan se tu utar sayyad pe tishna-lab pe sitam is qadar na kar poti hun fatima ki mujhe be-pidar na kar ro kar bayan ye karti thi wo sokhta-jigar de kar duhai ahl-e-haram pitte the sar karta tha zabh shah ko wahan shimr-e-bad guhar farmate the ye shah ki pyasa hun rahm kar pani diya na hae nabi ke nawase ko jallad zabh karne laga bhuke pyase ko aakhir sar-e-imam-e-umam tan se kat gaya chilla ke fatima ne ye zainab ko di sada maidan se jald le ke sakina ko ghar mein ja be-jurm kat gaya tere man jae ka gala mara ba-zulm shimr ne pyase ko jaan se main lat gai husain sidhaare jahan se bas ai 'anis' bazm mein hai nala-o-fughan puchh un ke dil se jo hain sukhan-fahm nukta-dan haq hai suna nahin kabhi us husn ka bayan goya ki ye khaliq ki hai sar-ba-sar zaban sach hai ki is zaban ko koi jaanta nahin jo jaanta hai aur ko wo manta nahin Continue Reading... Share on:
chaara-gar bhi jo yun guzar jaenAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMMarsiyachaara-gar bhi jo yun guzar jaen phir ye bimar kis ke ghar jaen aaj ka gham badi qayamat hai aaj sab naqsh-e-gham ubhar jaen hai bahaaron ki ruh sog-nashin sare auraq-e-gul bikhar jaen naz-parwarda be-nawa majbur jaane wale ye sab kidhar jaen kal ka din hae kal ka din ai 'jaun' kash is raat hum bhi mar jaen hai shab-e-matam-e-masihai ashk daman mein ta-sahar jaen marne wale tere janaze mein kya faqat hum ba-chashm-tar jaen kash dil khun ho ke bah jae kash aankhen lahu mein bhar jaen Continue Reading... Share on: