shayad

main shayad tum ko yaksar bhulne wala hun
shayad jaan-e-jaan shayad
ki ab tum mujh ko pahle se ziyaada yaad aati ho
hai dil ghamgin bahut ghamgin
ki ab tum yaad dildarana aati ho
shamim-e-dur-manda ho
bahut ranjida ho mujh se
magar phir bhi
masham-e-jaan mein mere aashti-mandana aati ho
judai mein bala ka iltifat-e-mehramana hai
qayamat ki khabar-giri hai
behad naz-bardari ka aalam hai
tumhaare rang mujh mein aur gahre hote jate hain
main darta hun
mere ehsas ke is khwab ka anjam kya hoga
ye mere andarun-e-zat ke taraj-gar
jazbon ke bairi waqt ki sazish na ho koi
tumhaare is tarah har lamha yaad aane se
dil sahma hua sa hai
to phir tum kam hi yaad aao
mata-e-dil mata-e-jaan to phir tum kam hi yaad aao
bahut kuchh bah gaya hai sail-e-mah-o-sal mein ab tak
sabhi kuchh to na bah jae
ki mere pas rah bhi kya gaya hai
kuchh to rah jae

daricha-ha-e-KHayal

chahta hun ki bhul jaun tumhein
aur ye sab daricha-ha-e-khayal
jo tumhaari hi samt khulte hain
band kar dun kuchh is tarah ki yahan
yaad ki ek kiran bhi aa na sake
chahta hun ki bhul jaun tumhein
aur khud bhi na yaad aaun tumhein
jaise tum sirf ek kahani thin
jaise main sirf ek fasana tha

zabt kar ke hansi ko bhul gaya

zabt kar ke hansi ko bhul gaya
main to us zakhm hi ko bhul gaya
zat-dar-zat ham-safar rah kar
ajnabi ajnabi ko bhul gaya
subh tak wajh-e-jaan-kani thi jo baat
main use sham hi ko bhul gaya
ahd-e-wabastagi guzar ke main
wajh-e-wabastagi ko bhul gaya
sab dalilen to mujh ko yaad rahin
bahs kya thi usi ko bhul gaya
kyun na ho naz is zehanat par
ek main har kisi ko bhul gaya
sab se pur-amn waqia ye hai
aadmi aadmi ko bhul gaya
qahqaha marte hi diwana
har gham-e-zindagi ko bhul gaya
khwab-ha-khwab jis ko chaha tha
rang-ha-rang usi ko bhul gaya
kya qayamat hui agar ek shakhs
apni khush-qismati ko bhul gaya
soch kar us ki khalwat-anjumani
wan main apni kami ko bhul gaya
sab bure mujh ko yaad rahte hain
jo bhala tha usi ko bhul gaya
un se wada to kar liya lekin
apni kam-fursati ko bhul gaya
bastiyo ab to rasta de do
ab to main us gali ko bhul gaya
us ne goya mujhi ko yaad rakha
main bhi goya usi ko bhul gaya
yani tum wo ho waqai? had hai
main to sach-much sabhi ko bhul gaya
aakhiri but khuda na kyun thahre
but-shikan but-gari ko bhul gaya
ab to har baat yaad rahti hai
ghaaliban main kisi ko bhul gaya
us ki khushiyon se jalne wala 'jaun'
apni iza-dahi ko bhul gaya

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close