bas ki faalumma-yurid hai aaj

bas ki faalumma-yurid hai aaj
har silah shor englistan ka
ghar se bazar mein nikalte hue
zohra hota hai aab insan ka
chauk jis ko kahen wo maqtal hai
ghar bana hai namuna zindan ka
shahr-e-dehli ka zarra zarra khak
tishna-e-khun hai har musalman ka
koi wan se na aa sake yan tak
aadmi wan na ja sake yan ka
main ne mana ki mil gae phir kya
wahi rona tan o dil o jaan ka
gah jal kar kiya kiye shikwa
sozish-e-dagh-ha-e-pinhan ka
gah ro kar kaha kiye baham
majra dida-ha-e-giryan ka
is tarah ke visal se yarab
kya mite dil se dagh hijran ka

aKHbar

sara din main khun mein lat-pat rahta hun
sare din mein sukh sukh ke kala pad jata hai khun
papdi si jam jati hai
khurach khurach ke nakhunon se
chamdi chhilne lagti hai
nak mein khun ki kachchi bu
aur kapdon par kuchh kale kale chakte se rah jate hain
roz subh akhbar mere ghar
khun mein lat-pat aata hai

hath aankhon pe rakh lene se KHatra nahin jata

hath aankhon pe rakh lene se khatra nahin jata
diwar se bhaunchaal ko roka nahin jata
dawon ki taraazu mein to azmat nahin tulti
fite se to kirdar ko napa nahin jata
farman se pedon pe kabhi phal nahin lagte
talwar se mausam koi badla nahin jata
chor apne gharon mein to nahin naqb lagate
apni hi kamai ko to luta nahin jata
auron ke khayalat ki lete hain talashi
aur apne gareban mein jhanka nahin jata
faulad se faulad to kat sakta hai lekin
qanun se qanun ko badla nahin jata
zulmat ko ghata kahne se barish nahin hoti
shoalon ko hawaon se to dhanpa nahin jata
tufan mein ho naw to kuchh sabr bhi aa jae
sahil pe khade ho ke to duba nahin jata
dariya ke kinare to pahunch jate hain pyase
pyason ke gharon tak koi dariya nahin jata
allah jise chahe use milti hai 'muzaffar'
izzat ko dukanon se kharida nahin jata

rang pairahan ka KHushbu zulf lahrane ka nam

rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka nam
mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka nam
dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair
gulsitan ki baat rangin hai na mai-khane ka nam
phir nazar mein phul mahke dil mein phir shamen jalin
phir tasawwur ne liya us bazm mein jaane ka nam
dilbari thahra zaban-e-khalq khulwane ka nam
ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka nam
ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin
in dinon badnam hai har ek diwane ka nam
mohtasib ki khair uncha hai usi ke faiz se
rind ka saqi ka mai ka khum ka paimane ka nam
hum se kahte hain chaman wale ghariban-e-chaman
tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka nam
'faiz' un ko hai taqaza-e-wafa hum se jinhen
aashna ke nam se pyara hai begane ka nam

nai subh chahte hain nai sham chahte hain

nai subh chahte hain nai sham chahte hain
jo ye roz o shab badal de wo nizam chahte hain
wahi shah chahte hain jo ghulam chahte hain
koi chahta hi kab hai jo awam chahte hain
isi baat par hain barham ye sitamgaran-e-alam
ki jo chhin gaya hai hum se wo maqam chahte hain
kise harf-e-haq sunaun ki yahan to us ko sunna
na khawas chahte hain na awam chahte hain
ye nahin ki tu ne bheja hi nahin payam koi
magar ek wahi na aaya jo payam chahte hain
teri rah dekhti hain meri tishna-kaam aankhen
tere jalwe mere ghar ke dar-o-baam chahte hain
wo kitab-e-zindagi hi na hui murattab ab tak
ki hum intisab jis ka tere nam chahte hain
na murad hogi puri kabhi un shikariyon ki
mujhe dekhna jo 'zahid' tah-e-dam chahte hain

nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi

nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi
nahin visal mayassar to aarzu hi sahi
na tan mein khun faraham na ashk aankhon mein
namaz-e-shauq to wajib hai be-wazu hi sahi
kisi tarah to jame bazm mai-kade walo
nahin jo baada-o-saghar to haw-hu hi sahi
gar intizar kathin hai to jab talak ai dil
kisi ke wada-e-farda ki guftugu hi sahi
dayar-e-ghair mein mahram agar nahin koi
to 'faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close