hath aankhon pe rakh lene se khatra nahin jata diwar se bhaunchaal ko roka nahin jata dawon ki taraazu mein to azmat nahin tulti fite se to kirdar ko napa nahin jata farman se pedon pe kabhi phal nahin lagte talwar se mausam koi badla nahin jata chor apne gharon mein to nahin naqb lagate apni hi kamai ko to luta nahin jata auron ke khayalat ki lete hain talashi aur apne gareban mein jhanka nahin jata faulad se faulad to kat sakta hai lekin qanun se qanun ko badla nahin jata zulmat ko ghata kahne se barish nahin hoti shoalon ko hawaon se to dhanpa nahin jata tufan mein ho naw to kuchh sabr bhi aa jae sahil pe khade ho ke to duba nahin jata dariya ke kinare to pahunch jate hain pyase pyason ke gharon tak koi dariya nahin jata allah jise chahe use milti hai 'muzaffar' izzat ko dukanon se kharida nahin jata
This is a great izzat funny shayari. True lovers of muzaffar warsi shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this kharidar shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!