aahan mein Dhalti jaegi ikkiswin sadiShayari By 28 Oct 2020 06:13:01 PMGhazalaahan mein dhalti jaegi ikkiswin sadi phir bhi ghazal sunaegi ikkiswin sadi baghdad dilli masco london ke darmiyan barud bhi bichhaegi ikkiswin sadi [...] Continue Reading... Share on:
nizam-e-zar mein kisi aur kaam ka kya hoShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMShernizam-e-zar mein kisi aur kaam ka kya ho bas aadmi hai kamane ka aur khane ka Continue Reading... Share on:
tabdiliShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMNazmis bhare shahr mein koi aisa nahin jo mujhe rah chalte ko pahchan le aur aawaz de o be o sar-phire donon ek dusre se lipat kar wahin [...] Continue Reading... Share on:
subh hote hi nikal aate hain bazar mein logShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMShersubh hote hi nikal aate hain bazar mein log gathriyan sar pe uthae hue imanon ki Continue Reading... Share on:
tausi-e-shahrAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmbis baras se khade the jo is gati nahr ke dwar jhumte kheton ki sarhad par banke pahre-dar ghane suhane chhanw chhidakte bor lade chhitnar bis hazar mein bik gae sare hare bhare ashjar jin ki sans ka har jhonka tha ek ajib tilism qatil teshe chir gae un sawanton ke jism giri dhadam se ghayal pedon ki nili diwar katte haikal jhadte pinjar chhatte barg-o-bar sahi dhup ke zard kafan mein lashon ke ambar aaj khada main sochta hun is gati nahr ke dwar is maqtal mein sirf ek meri soch lahakti dal mujh par bhi ab kari zarb ek ai aadam ki aal Continue Reading... Share on:
chup-chap guzar jaoAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmyahan horn bajaane ki ijazat nahin aur main ne tamanna ka bharam khol diya hai ki samundar ki hawa sine se takrae to parda na rahe us ki mahak sar pe kafan bandh ke nikli hai har ek raste har mod pe aawaz lagati hai magar koi nahin rukta basant aai hai sab bhag rahe hain koi aawaz nahin deta koi mud ke nahin dekhta petrol lahu aur hawa dast-o-gareban hain jidhar dekho patangen hi patangen hain zaminon pe utarne ke liye dolti par taulti bal khati hui subah ko katti hain magar sham ko sadkon pe utarti hain to wo kaun hai jo aankhon ke sae se gurezan hain magar subh hi subh chupke se sau sidhiyan chadh jata hai thakta hi nahin aur nai aag dahakti hai nae range hue kaghazon se hashr chamak uthta hai sab aurten aur mard jawan ladkiyan aur ladke nai texiyan aur motaren aur rikshe unhen lutne nikle hain basant aai hai aa jao yahan lut machi hai aao dar-o-diwar ko hasrat ki nazar dekhna mat bhulna ek dusre ko raundte ek dusre ko khun mein bhige hue sar pitte aur chikhte chillate sabhi bhag rahe hain koi aawaz nahin deta yahan maon aur bahnon se aur biwiyon se aakhiri boson ki ijazat hai magar horn bajaane ki ijazat nahin Continue Reading... Share on: