KHirad walo junun walon ke viranon mein aa jaoShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMGhazalkhirad walo junun walon ke viranon mein aa jao dilon ke bagh zakhmon ke gulistanon mein aa jao ye daman o gareban ab salamat rah nahin sakte abhi tak kuchh nahin bigda hai diwanon mein aa jao [...] Continue Reading... Share on:
de rahe hain jis ko topon ki salami aadmiShayari By 31 Oct 2020 01:22:31 PMGhazalde rahe hain jis ko topon ki salami aadmi kya kahun tum se ki hai kitna harami aadmi bhid chhat jaegi tab us ki samajh mein aaega ek akela aadmi hai azdahami aadmi [...] Continue Reading... Share on:
ye qarz to mera hai chukaega koi aurShayari By 11 Nov 2020 07:41:25 PMGhazalye qarz to mera hai chukaega koi aur dukh mujh ko hai aur nir bahaega koi aur kya phir yunhi di jaegi ujrat pe gawahi kya teri saza ab ke bhi paega koi aur [...] Continue Reading... Share on:
ek aansu bhi hukumat ke liye KHatra haiAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMSherek aansu bhi hukumat ke liye khatra hai tum ne dekha nahin aaankhon ka samundar hona Continue Reading... Share on:
dushmani jam kar karo lekin ye gunjaish raheAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMSherdushmani jam kar karo lekin ye gunjaish rahe jab kabhi hum dost ho jaen to sharminda na hon bear enmity with all your might, but this we should decide if ever we be friends again, we are not mortified Continue Reading... Share on:
hath aankhon pe rakh lene se KHatra nahin jataAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMGhazalhath aankhon pe rakh lene se khatra nahin jata diwar se bhaunchaal ko roka nahin jata dawon ki taraazu mein to azmat nahin tulti fite se to kirdar ko napa nahin jata farman se pedon pe kabhi phal nahin lagte talwar se mausam koi badla nahin jata chor apne gharon mein to nahin naqb lagate apni hi kamai ko to luta nahin jata auron ke khayalat ki lete hain talashi aur apne gareban mein jhanka nahin jata faulad se faulad to kat sakta hai lekin qanun se qanun ko badla nahin jata zulmat ko ghata kahne se barish nahin hoti shoalon ko hawaon se to dhanpa nahin jata tufan mein ho naw to kuchh sabr bhi aa jae sahil pe khade ho ke to duba nahin jata dariya ke kinare to pahunch jate hain pyase pyason ke gharon tak koi dariya nahin jata allah jise chahe use milti hai 'muzaffar' izzat ko dukanon se kharida nahin jata Continue Reading... Share on: