wo be-niyaz mujhe uljhanon mein Dal gaya

wo be-niyaz mujhe uljhanon mein dal gaya
ki jis ke pyar mein ehsas-e-mah-o-sal gaya

har ek baat ke yun to diye jawab us ne
jo khas baat thi har bar hans ke tal gaya

kai sawal the jo main ne soch rakkhe the
wo aa gaya to mujhe bhul har sawal gaya

jo umr jazbon ka sailab ban ke aai thi
guzar gai to laga daur-e-e'tidal gaya

wo ek zat jo khwab-o-khayal lai thi
isi ke sath har ek khwab har khayal gaya

use to is ka koi ranj bhi na ho shayad
ki us ki bazm se koi shikasta-haal gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close