ab kisi andhe safar ke liye tayyar hua chahta hai ek zara der mein rukhsat tera bimar hua chahta hai aakhiri qist bhi sanson ki chuka dega chukane wala zindagi qarz se tere wo subuk-bar hua chahta hai raaz-e-sar-basta samajhte rahe ab tak jise ahl-e-danish munkashif aaj wahi raaz sar-e-dar hua chahta hai dil-e-wahshi ke bahalne ka nahin ek bhi saman yahan mahfil-e-zohd-e-mizajaan se ye bezar hua chahta hai dekh leni thi tujhe sina-e-afat-zadagan ki sakhti tera har tir-e-hadaf-kar hi bekar hua chahta hai phailte shahron ke jangal mein ye ghaaron ki tarah tang makan khun mein wahshi-e-khwabida bhi bedar hua chahta hai dard-e-dil bantta aaya hai zamane ko jo ab tak 'anjum' kuchh hua yun ki wahi dard se do-chaar hua chahta hai