dhup aati nahin rukh apna badal kar dekhen chadhte suraj ki taraf hum bhi to chal kar dekhen baat kuchh hogi yaqinan jo ye hote hain nisar hum bhi ek roz kisi shama pe jal kar dekhen sahib-e-jubba-o-dastar se kah de koi is bulandi pe wo dekhen to sambhal kar dekhen kya ajab hai ki ye mutthi mein hamari aa jae aasman ki taraf ek bar uchhal kar dekhen dagh daman pe kisi ke na koi hath hi tar kyun na chehre pe lahu apna hi mal kar dekhen kis tarah samt-e-mukhalif mein safar karte hain hum bahte dhaare se kabhi aap nikal kar dekhen khak mein mil ke fana honge jo moti hain yahan jab bhi ji chahe ye aankhon se ubal kar dekhen yak-ba-yak jaan se guzarna to hai aasan 'anjum' qatra qatra kai qiston mein pighal kar dekhen