ghum raha tha ek shakhs raat ke kharzar mein us ka lahu bhi mar gaya subh ke intizar mein ruh ki khushk pattiyan shakh se tutti rahin aur ghata baras gai jism ke regzar mein rang mein rang ghul gae aks ke shishe dhul gae qaus-e-quzah pighal gai bhigi hui lagar mein thandi sadak thi be-khabar garm dinon ke qahr se dhup ko jhelte rahe ped khade qatar mein bahti hawa ki mauj mein tair rahe the sabz ghar shahr ajib sa laga raat chadhe khumar mein nind bhi jagti rahi pure hue na khwab bhi subh hui zamin par raat dhali mazar mein deta jawab kya koi mere siwa na tha koi dub ke rah gai sada tang siyah ghaar mein