izaen uThae hue dukh pae hue hain

izaen uthae hue dukh pae hue hain
hum dil se ba-tang aae hain uktae hue hain

betab hain bechain hain ghabrae hue hain
hum dil se ba-tang aae hain uktae hue hain

un honthon ke bose ka maza pae hue hain
pyar aaya hai munh takte hain lalchae hue hain

zulfen wo bala ji ko jo uljhae hue hain
jude ke ulat beach mein dil aae hue hain

ghusse mein bhare baithe hain jhallae hue hain
afrokhta hain ghairon ke bhadkae hue hain

darwaze pe baithe hain nikalwae hue hain
hum ne to dhahi di wo ghazab dhae hue hain

ithlae hue baithe hain itrae hue hain
ab rup hai joban pe hain gadrae hue hain

kya baat hai kya baat hai teri lab-e-jaan-bakhsh
aisi bhi tere ahd mein dam khae hue hain

mujh par unhen rahm aae ye mumkin hi nahin hai
aise wo samajhte nahin samjhae hue hain

karta ghazab ab tak to hamara dil-e-betab
roke hue dante hue dhamkae hue hain

hangama rahega yun hi kuche mein tumhaare
aashiq kahan ja sakte hain dil aae hue hain

aaen to inayat hai nahin aate na aaen
hum dil ko tasawwur hi se bahlae hue hain

dil thahar gaya zakhm-e-jigar bhar gae apne
aaram hi hum tum ko jo liptae hue hain

marne pe bhi afsurda-dili apni ayan hai
turbat pe meri phul bhi murjhae hue hain

aghyar-e-siyah-ru se bahut rabt hai un ko
wo chand hain ai 'mehr' to gahnae hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close