jo mehndi ka buTna mala kijiyega

jo mehndi ka butna mala kijiyega
pasine ko itr-e-hina kijiyega

sitam kijiyega jafa kijiyega
yahi hoga aur aap kya kijiyega

phadak kar nikal jaega dam hamara
qafas se jo hum ko riha kijiyega

jo kahta hun achchha nahin zulm karna
to kahte hain wo aap kya kijiyega

qayamat mein didar ka kab yaqin hai
yunhi lan-tarani suna kijiyega

kaha haal-e-dil to wo ye kah ke utthe
main jata hun baithe baka kijiyega

shahanshah kahte hain un ke gada se
hamare liye bhi dua kijiyega

gulon ka wahi pairahan hoga sahab
inayat jo apni qaba kijiyega

kinara bhala tum se ai bahr-e-khubi
dubone hi ko aashna kijiyega

munajjim ne hath un ke dekhe to bola
gulon ki qaba ko qaba kijiyega

meri jaan ke muddai aap honge
samaat agar muddaa kijiyega

bahut naz-parwarda hai dil hamara
zara lutf is par kiya kijiyega

na diwana bante jo malum hota
pari ban ke hum se uda kijiyega

buto barq hain dard-mandon ki aahen
khuda ke ghazab se dara kijiyega

bahut faiz bakhshi ka sunte hain shohra
hamari bhi hajat rawa kijiyega

khuda ke liye mirza-'mehr'-sahab
buton par kahan tak mita kijiyega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close