kaba-o-but-khana walon se juda baithe hain hum ek but-e-na-ashna se dil laga baithe hain hum aap se apne ko diwana bana baithe hain hum ku-e-jaanan chhod ke jangal mein aa baithe hain hum kyun mukaddar kar diya nazuk-mizajon ka mizaj kucha-e-jaanan se chal ja ai saba baithe hain hum ye dua kaba mein karte hain ki us but se mila tere darwaza par aa kar ai khuda baithe hain hum wo to kahte hain ki uth jaen mere kucha se aap hae kitni ho gai hain be-haya baithe hain hum sargirani hai abas hum khaksaron se tumhein ya to mitne ko basan-e-naqsh-e-pa baithe hain hum apna baatin khub hai zahir se bhi ai jaan-e-jaan aankh ke ladne se pahle ji lada baithe hain hum main to kahta hun ki bazm-e-ghair hai yan se utho aur wo kahte hain mujh se tujh ko kya baithe hain hum ya hamein uthwa diya ya uth gae hain aap wo gar kabhi majlis mein bhi pas un ke ja baithe hain hum bazm-e-taswir apni sohbat ho gai hai in dinon aashna din mein bhi ab na-ashna baithe hain hum pad gaya hai hath jab angiya pe us khush-gat ki surat-e-shahbaz chidiya ko daba baithe hain hum guhar se uthne ki nahin bahar nahin rakhne ke paon yar ke sar ki qasam ai 'mehr' kha baithe hain hum