karte hain shauq-e-did mein baaten hawa se hum jate hain ku-e-yar mein pahle saba se hum pichhe kahin rahe nahin aah-e-rasa se hum jate hain ku-e-yar mein pahle saba se hum iza ki apni fikr karenge dawa se hum dhundenge koi maut ka nuskha shifa se hum zahid bura na manenge is bad-dua se hum hon but-parast chahte hain ye khuda se hum uljhenge ek bar to zulf-e-dota se hum saudai hun sadi hun tumhaari bala se hum tegh-e-nigah na tir-e-mizha ne kiya halak han mar gae hain aap hi apni qaza se hum na-qadr se hi qadr ki ummid hai abas o be-wafa khajil hue apni wafa se hum ghar ja ke un ke rog laga lae ishq ka bimar ho ke aae hain darushshifa se hum aab-e-hayat khizr-o-sikandar ko chahiye saqi faqat sharab ke hain ek piya se hum bole masih dekh ke bimar-e-ishq ko majbur hain isi maraz-e-la-dawa se hum jheli hui hain ishq mein lakhon musibaten darte nahin hai aap ke jaur-o-jafa se hum ghar mein huzur ke hamein sona nasib ho aae hain mal marne daulat-sara se hum gulzar hai shahidon ka jannat ka ham-sawad jaenge to na aaenge phir karbala se hum qismat ka apni pech hua gesuon ka pech badlen siyah tale-e-zill-e-huma se hum dil mein tere asar na hua arsh hil gaya nadim hain na-rasai-e-ah-e-rasa se hum achchha hua na dafn hui nash baad-e-marg kya musht-e-ustukhwan ko chhupate huma se hum sote nahin hain raat ko bhi hum to chain se karte hain 'mehr' uns jo ek mah-laqa se hum