khul gaya un ki masihai ka aalam shab-e-wasl mera dam band hai dete hain mujhe dam shab-e-wasl jeb ke purze ude phat gai mahram shab-e-wasl mere un ke raha kuchh aur hi aalam shab-e-wasl ji mein hai kahiye moazzin se ye hamdam shab-e-wasl yun na chikha karo ai qibla-e-alam shab-e-wasl wo na soe hon juda ya na lade hon hum se is tarah ki hui sohbat to bahut kam shab-e-wasl subh hote hi mujhe ashkon se munh dhona hai mujh se aankhen na chura dida-e-pur-nam shab-e-wasl