na diya bosa-e-lab kha ke qasam bhul gae de ke aisi mujhe eajaz ka dam bhul gae chashm-o-abru ko tere dekh ke aata hai khayal taq-e-kisra pe yahan saghar-e-jam bhul gae ai shah-e-husn ye qalamen nahin aariz pe tere katiban-e-khat-e-rukhsar qalam bhul gae wo bhi kya din the ki aashiq the tumhaare hum bhi ab to fariyaad-o-fughan dard-o-alam bhul gae hae qismat ka likha aae to qasid ye kahe khat tumhaare liye wo kar ke raqam bhul gae tera gulzar hai kis bagh ki muli bulbul ku-e-jaanan mein to hum bagh-e-iram bhul gae chashm-e-bad-dur wo aankhen hain tumhaari sahab dekh kar chaukdi aahu-e-haram bhul gae aap ka dost hai ye apni baghal ka dushman yaad dilwae wahin dil ne jo hum bhul gae zaiqa maut ka bas yaad dila deta hai kya qayamat hai ye kahna tera hum bhul gae mirza mahr-e-mohabbat tumhein phir yaad aai dil pe guzri thi jo kuchh ranj-o-alam bhul gae rah gaya yaad tumhein jaur-o-jafa zulm-o-sitam lutf-o-altaf-o-inayat-o-karam bhul gae kaba-e-dil mein bas ab rahti hai allah ki yaad rasta dair ka hum shakl-e-sanam bhul gae yaad rahti hai faqat hum ko tere kucha ki waizon se suna haal-e-iram bhul gae yaad rakhne ki ye baaten hain baja hai sach hai aap bhule na hamein aap ko hum bhul gae dil se dil ko hai agar rah to hai yaad se yaad tum hamein bhul gae tum ko bhi hum bhul gae bas hamare hi liye aap ko nisyan bhi hai kabhi ghairon ko na sahab koi dam bhul gae kucha-e-zulf mein ya halqa-e-gesu mein tere yaad aata hai yahin dil kahin hum bhul gae sher-e-hindi jo sune 'mehr' jigar tafta ke apna andaz-e-fasihan-e-ajam bhul gae