nae kapde badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liye wo shakhs to shahr hi chhod gaya main bahar jaun kis ke liye jis dhup ki dil mein thandak thi wo dhup usi ke sath gai in jalti balti galiyon mein ab khak udaun kis ke liye wo shahr mein tha to us ke liye auron se bhi milna padta tha ab aise-waise logon ke main naz uthaun kis ke liye ab shahr mein us ka badal hi nahin koi waisa jaan-e-ghazal hi nahin aiwan-e-ghazal mein lafzon ke gul-dan sajaun kis ke liye muddat se koi aaya na gaya sunsan padi hai ghar ki faza in khali kamron mein 'nasir' ab shama jalaun kis ke liye