wo zar hun ki sar pe gulistan utha liya wo khar hun ki pahlu-e-gul ko daba liya kya mujh se chaal chalte wo main bhi hun chaaliya katra ke chal diye the ki banda ne ja liya kya baat bosa-e-lab-e-jaan-bakhsh yar ke panje se maut ke mujhe us ne bacha liya main jaise nale karta hun un ke khayal mein gay to is tarah se gawayya khayaliya un ki gali ke kutte se tu munh ki khaega haddi ka mere nam jo tu ne huma liya taswir khinchta hun sarapa-e-yar ki hain aalam-e-misal ki sher-e-misaliya uthwa diya raqib ko wan baith baith ke aise jame ki hum ne bhi naqsha jama liya daghon ki bas dikha di diwali mein raushni hum sa na hoga koi jahan mein diwaliya kahne lage murid ki pahunche hue hain aap musa bana wo hath mein jis ne asa liya aise na jeb-katre kahin hain na gath-kate pahlu mein baithte hi dil us ne uda liya aaya shabab rup pe husn-o-jamal hai is bagh mein bahaar ne rang ab jama liya waiz hisab denge wahan tujh se dana-zad rawaq ka hai shukr jo khilwaya kha liya yaad aa gai jo hum ko wo gardan surahi-dar shishe ko mai-kade mein gale se laga liya lillah bu-e-gul se na kar mujh ko bad-dimagh khushbu uda ke un ke badan ki saba liya aate hain wo kahin se to ai 'mehr' qarz dam chikni dali ilaichi manga pan chhaaliya