zikr-e-jaanan kar jo tujh se ho sake waiz ehsan kar jo tujh se ho sake raaz-e-dil zahir na ho ai dud-e-ah dagh pinhan kar jo tujh se ho sake phunkta hai mujh ko ye soz-e-darun chashm-e-giryan kar jo tujh se ho sake ai masiha mujh ko hai aazar-e-ishq mera darman kar jo tujh se ho sake qais ko rota hun ai dasht-e-junun fikr-e-daman kar jo tujh se ho sake chup hai kyun o but khuda ki waste kuchh to hun-han kar jo tujh se ho sake dil to us pe aaj sadqe ho gaya tu bhi ai jaan kar jo tujh se ho sake la mughal ki tegh-e-abru ka jawab azm-e-safahan kar jo tujh se ho sake raaz-poshi meri dud-e-ah ki dud-e-qulyan kar jo tujh se ho sake khet dikhla mujh ko ai shamshir-e-yar kar-e-dahqan kar jo tujh se ho sake khirman-e-mah-e-darakhshan ko uda kar-e-dahqan kar jo tujh se ho sake ta-ba-kai yaad-e-rukh-e-jaanan dila hifz quran kar jo tujh se ho sake wo pari meri musakhkhar ho ye kaam ai sulaiman kar jo tujh se ho sake ek din diwar hi phadunga main khair darban kar jo tujh se ho sake yun hi zahir ho shab-e-furqat ki subh dagh pinhan kar jo tujh se ho sake ai firangan khana-e-viran mera inglistan kar jo tujh se ho sake kar mera ghar faiz-e-maqaddam se bahisht mujh ko rizwan kar jo tujh se ho sake jhidkiyan di galiyan di dil dukha ai meri jaan kar jo tujh se ho sake naza mein to jae sharb-e-mai pila saqi ehsan ki jo tujh se ho sake tu hi turbat par meri chadar chadha mah-e-taban kar jo tujh se ho sake ai dil-e-nalan kahan tak shor-o-ghul zabt-e-afghan kar jo tujh se ho sake 'mehr' yun fikr-e-pareshan ta-ba-kai jama diwan kar jo tujh se ho sake