bahut dinon ki baat hai faza ko yaad bhi nahin ye baat aaj ki nahin bahut dinon ki baat hai shabab par bahaar thi faza bhi khush-gawar thi na jaane kyun machal pada main apne ghar se chal pada kisi ne mujh ko rok kar teri ada se tok kar kaha tha laut aaiye meri qism na jaiye na jaiye na jaiye mujhe magar khabar na thi mahaul par nazar na thi na jaane kyun machal pada main apne ghar se chal pada main chal pada main chal pada main shahar se phir aa gaya khayal tha ki pa gaya use jo mujh se dur thi magar meri zarur thi aur ek hasin sham ko main chal pada salam ko gali ka rang dekh kar nai tarang dekh kar mujhe badi khushi hui main kuchh isi khushi mein tha kisi ne jhank kar kaha parae ghar se jaiye meri qism na aaiye na aaiye na aaiye wahi hasin sham hai bahaar jis ka nam hai chala hun ghar ko chhod kar na jaane jaunga kidhar koi nahin jo tok kar koi nahin jo rok kar kahe ki laut aaiye meri qism na jaiye bahut dinon ki baat hai faza ko yaad bhi nahin ye baat aaj ki nahin bahut dinon ki baat hai
This is a great apne paraye shayari. True lovers of तरंग शायरी will love this. Please share if you liked this!!!