irade

kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge
ye mana chand abhi ek ret ka maidan hai lekin

kisi din ja ke hum is ko hasin jannat banaenge
kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge

ye mana chand par is waqt aabaadi nahin lekin
kisi din hum wahan ja kar nai basti basaenge

kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge
ye mana chand abhi bad-surat-o-bad-shakl hai lekin

kisi din hum use duniya se bhi dilkash banaenge
kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge

ye mana chand par har samt hain jwala-mukhi lekin
kisi din hum wahan par pyar ki kaliyan khilaenge

kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge
ye mana chand andar se bahut tarik hai lekin

kisi din hum wahan par amn ki shamen jalaenge
kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge

ye mana chand par har samt hain viraniyan lekin
kisi din hum wahan ja kar bahut dhumen machaenge

kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge
ye mana chand par jaana abhi be-kar hai lekin

wo din bhi aaega jab hum wahan picnic manaenge
kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close