chupke chupke raat din aansu bahana yaad haiShayari By 02 Aug 2021 01:54:34 PMGhazalchupke chupke raat din aansu bahana yaad hai hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq tujh se wo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai [...] Continue Reading... Share on:
ye aashiqi tere bas ki nahin so rahne deShayari By 27 Mar 2021 01:50:32 PMSherye aashiqi tere bas ki nahin so rahne de ki tera kaam to bas na-sipas hona hai Continue Reading... Share on:
aaghaz to hota hai anjam nahin hotaShayari By 07 Nov 2020 04:29:05 PMGhazalaaghaz to hota hai anjam nahin hota jab meri kahani mein wo nam nahin hota jab zulf ki kalak mein ghul jae koi rahi badnam sahi lekin gumnam nahin hota [...] Continue Reading... Share on:
anokhi waza hai sare zamane se nirale hainShayari By 30 Oct 2020 06:05:16 PMSheranokhi waza hai sare zamane se nirale hain ye aashiq kaun si basti ke ya-rab rahne wale hain Continue Reading... Share on:
chal sath ki hasrat dil-e-marhum se nikleAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMSherchal sath ki hasrat dil-e-marhum se nikle aashiq ka janaza hai zara dhum se nikle Continue Reading... Share on:
chupke chupke raat din aansu bahana yaad haiAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMGhazalchupke chupke raat din aansu bahana yaad hai hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq tujh se wo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai bar bar uthna usi jaanib nigah-e-shauq ka aur tera ghurfe se wo aankhen ladana yaad hai tujh se kuchh milte hi wo bebak ho jaana mera aur tera danton mein wo ungli dabana yaad hai khinch lena wo mera parde ka kona dafatan aur dupatte se tera wo munh chhupana yaad hai jaan kar sona tujhe wo qasd-e-pa-bosi mera aur tera thukra ke sar wo muskurana yaad hai tujh ko jab tanha kabhi pana to az-rah-e-lihaz haal-e-dil baaton hi baaton mein jatana yaad hai jab siwa mere tumhaara koi diwana na tha sach kaho kuchh tum ko bhi wo kar-khana yaad hai ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf wo tera chori-chhupe raaton ko aana yaad hai aa gaya gar wasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq wo tera ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye wo tera kothe pe nange panw aana yaad hai aaj tak nazron mein hai wo sohbat-e-raaz-o-niyaz apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai mithi mithi chhed kar baaten nirali pyar ki zikr dushman ka wo baaton mein udana yaad hai dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naz se jab mana lena to phir khud ruth jaana yaad hai chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah muddaten guzrin par ab tak wo thikana yaad hai shauq mein mehndi ke wo be-dast-o-pa hona tera aur mera wo chhedna wo gudgudana yaad hai bawajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe aaj tak ahd-e-hawas ka wo fasana yaad hai Continue Reading... Share on: