dastakShayari By 07 Nov 2020 10:00:10 PMNazmsubah subah ek khwab ki dastak par darwaza khula' dekha sarhad ke us par se kuchh mehman aae hain aankhon se manus the sare chehre sare sune sunae [...] Continue Reading... Share on:
hath chhuTen bhi to rishte nahin chhoDa karteShayari By 19 Nov 2020 09:36:39 PMGhazalhath chhuten bhi to rishte nahin chhoda karte waqt ki shakh se lamhe nahin toda karte jis ki aawaz mein silwat ho nigahon mein shikan aisi taswir ke tukde nahin joda karte [...] Continue Reading... Share on:
kale safed paron wala parinda aur meri ek shamShayari By 17 Nov 2020 02:08:05 PMNazmjab din dhal jata hai, suraj dharti ki ot mein ho jata hai aur bhidon ke chhatte jaisi bhin-bhin bazaron ki garmi, afra-tafri motor, bas, barqi railon ka hangama tham jata hai [...] Continue Reading... Share on:
kal ki baatShayari By 15 Nov 2020 02:08:05 PMNazmaise hi baithe idhar bhayya the daen jaanib un ke nazdik badi aapa shabana ko liye apni sasural ke kuchh qisse latife baaten yun sunati thin hanse padte the sab [...] Continue Reading... Share on:
Dasna station ka musafirShayari By 03 Oct 2020 01:56:55 PMNazmkaun sa station hai? dasna hai sahib-ji aap ko utarna hai? ji nahin, nahin, lekin [...] Continue Reading... Share on:
firqa-parasti ka challengeAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmtaqat ho kisi mein to mitae meri hasti dain hai mera nam laqab firqa-parasti main ne badi chaalaki se ek kaam kiya hai pahle hi mohabbat ka gala ghunt diya hai main fitne utha deti hun har uthte qadam se is desh ke tukde bhi hue mere hi dam se sarmaya-paraston ne janam mujh ko diya hai mazhab ke tassub ne mujhe god liya hai hai mulk ki taqsim ladakpan ki kahani us waqt to bachpan tha mera ab hai jawani ghabraata hai shaitan meri taqrir ke fan se main zahr ugalti hun zaban ban ke dahan se darkar hua jab bhi mujhe khun ziyaada main aa gai odhe hue mazhab ka libaada main desh ki qattala hun aur sab se badi hun bachchon ki bhi gardan pe chhuri ban ke chali hun goli ko sikha deti hun chalne ka qarina main chhed ke rakh deti hun mazlum ka sina har sukhe hue hont se leti hun tari main dam todne walon ki udati hun hansi main masumon ke man bap ka sar main ne liya hai bachchon ko yatimi ka laqab main ne diya hai hindu ka lahu ho ki musalman ka lahu ho matlab hai lahu se kisi insan ka lahu ho mil jae to main kis ka lahu pi nahin sakti majbur hun be khun piye ji nahin sakti har firqe ke logon ka lahu chat rahi hun faslon ki tarah sab ke gale kat rahi hun jis waqt jahan chahun wahan aag laga dun jis basti ko chahun use virana bana dun jis shahr ko phunka na makin the na makan tha uthta hua kuchh der agar tha to dhuan tha gulshan mere hathon yunhi taraj rahega main zinda rahungi to mera raj rahega taqat ho kisi mein to mitae meri hasti dain hai mera nam laqab firqa-parasti Continue Reading... Share on: