holi

Shayari By

pahle zamana aur tha mai aur thi daur aur tha
wo boliyan hi aur thin wo toliyan hi aur thin, wo holiyan hi aur thin

lekin mere pir-e-mughan
kal to naya andaz tha [...]

holi

muhayya sab hai ab asbab-e-holi
utho yaro bharo rangon se jholi
idhar yar aur udhar khuban saf-ara
tamasha hai tamasha hai tamasha
chaman mein dhum-o-ghul chaaron taraf hai
idhar dholak udhar aawaz-e-daf hai
idhar aashiq udhar mashuq ki saf
nashshe mein mast o har yak jam-ba-kaf
gulal abraq se sab bhar bhar ke jholi
pukare yak-ba-yak holi hai holi
lagi pichkariyon ki mar hone
har ek sun rang ki bauchhaar hone
koi hai sanwari koi hai gori
koi champa baran umron mein thodi

holi

aaj hai roz-e-wasant ai dostan
sarw-qad hai bostan ke darmiyan
bagh mein hai aish-o-ishrat raat din
gul-rukhan bin nain guzarti ek din
sab ke tan mein hai libas-e-kesri
karte hain sad-barg sun lab ham-sari
khub-ru sab ban rahe hain lal zard
bagh ka bazar hai is waqt sard
chand jaisa hai shafaq bhitar ayan
chehra sab ka az-gulal aatish-fishan
har chhabeli az-libas-e-kesari
taza karti hai bahaare-e-jafri
nachti ga ga ke holi dam-ba-dam
jyun sabha indar ki dar bagh-e-iram
az kabir-o-rang-e-kesar aur gulal
abr chhaya hai safed-o-zard-o-lal
jiyun jhadi har su hai pichkari ki dhaar
daudti hain nariyan bijli ke sar
josh-e-ishrat ghar-ba-ghar hai har taraf
nachti hain sab takalluf-bar-taraf

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close