zikr-e-gandhiShayari By 23 Oct 2020 12:07:23 PMNazmek-adh sal se hai faza mulk ki kuchh aur ghaalib sadi ke baad hai gandhi sadi ka daur gandhi ko kaun aisa hai jo jaanta na ho izzat ke sath un ko bada manta na ho [...] Continue Reading... Share on:
gandhi jiShayari By 23 Oct 2020 01:28:28 AMNazmrahbar desh-bhagti ka wo shah tha ek langoti ka wo pyar ke wo lutata tha phul tha ahinsa usi ka usul [...] Continue Reading... Share on:
baba gandhiShayari By 22 Oct 2020 07:12:45 PMNazmswaraj ka jhanda bhaarat mein gadwa diya gandhi baba ne dil qaum-o-watan ke dushman ka dahla diya gandhi baba ne ulfat ki rah mein mar jaana par nam jahan mein kar jaana ye path watan ke bachchon ko sikhla diya gandhi baba ne [...] Continue Reading... Share on:
sanehaAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmdard-o-gham-e-hayat ka darman chala gaya wo khizr-e-asr-o-isa-e-dauran chala gaya hindu chala gaya na musalman chala gaya insan ki justuju mein ek insan chala gaya raqsan chala gaya na ghazal-khwan chala gaya soz-o-gudaz o dard mein ghaltan chala gaya barham hai zulf-e-kufr to iman sar-nigun wo fakhr-e-kufr o nazish-e-iman chala gaya bimar zindagi ki kare kaun dil-dahi nabbaz o chaarasaz-e-marizan chala gaya kis ki nazar padegi ab isyan pe lutf ki wo mahram-e-nazakat-e-isyan chala gaya wo raaz-dar-er-mahfil-e-yaran nahin raha wo gham-gusar-e-bazm-e-arifan chala gaya ab kafiri mein rasm-o-rah-e-dilbari nahin iman ki baat ye hai ki iman chala gaya ek be-khud-e-surur-e-dil-o-jaan nahin raha ek aashiq-e-sadaqat-e-pinhan chala gaya ba-chashm-e-nam hai aaj zulekha-e-kaenat zindan-shikan wo yusuf-e-zindan chala gaya ai aarzu wo chashma-e-haiwan na kar talash zulmat se wo chashma-e-haiwan chala gaya ab sang-o-khisht o khak o khazaf sar-buland hain taj-e-watan ka lal-e-darakhshan chala gaya ab ahrman ke hath mein hai tegh-e-khun-chakan khush hai ki dast-o-bazu-e-yazdan chala gaya dew-e-badi se mark-e-sakht hi sahi ye to nahin ki zor-e-jawanan chala gaya kya ahl-e-dil mein jazba-e-ghairat nahin raha kya azm-e-sar-faroshi-e-mardan chala gaya kya baghiyon ki aatish-e-dil sard ho gai kya sarkashon ka jazba-e-pinhan chala gaya kya wo junun-o-jazba-e-bedar mar gaya kya wo shabab-e-hashr-badaman chala gaya khush hai badi jo dam ye neki pe dal ke rakh denge hum badi ka kaleja nikal ke Continue Reading... Share on: