KHud-kushi se pahle

Shayari By

zindagi nach ki har lamha hai jannat-ba-kanar
dekh ye lab hain ye aankhen ye gulabi rukhsar

phir na aaegi palat kar teri duniya mein bahaar
aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len [...]

aawaz-e-adam

dabegi kab talak aawaz-e-adam hum bhi dekhenge
rukenge kab talak jazbaat-e-barham hum bhi dekhenge
chalo yunhi sahi ye jaur-e-paiham hum bhi dekhenge
dar-e-zindan se dekhen ya uruj-e-dar se dekhen
tumhein ruswa sar-e-bazar-e-alam hum bhi dekhenge
zara dam lo maal-e-shaukat-e-jam hum bhi dekhenge
ye zoam-e-quwwat-e-faulad-o-ahan dekh lo tum bhi
ba-faiz-e-jazba-e-iman-e-mohkam hum bhi dekhenge
jabin-e-kaj-kulahi khak par kham hum bhi dekhenge
mukafat-e-amal tarikh-e-insan ki riwayat hai
karoge kab talak nawak faraham hum bhi dekhenge
kahan tak hai tumhaare zulm mein dam hum bhi dekhenge
ye hangam-e-wida-e-shab hai ai zulmat ke farzando
sahar ke dosh par gulnar parcham hum bhi dekhenge
tumhein bhi dekhna hoga ye aalam hum bhi dekhenge

tarana

darbar-e-watan mein jab ek din sab jaane wale jaenge
kuchh apni saza ko pahunchenge, kuchh apni jaza le jaenge
ai khak-nashino uth baitho wo waqt qarib aa pahuncha hai
jab takht girae jaenge jab taj uchhaale jaenge
ab tut girengi zanjiren ab zindanon ki khair nahin
jo dariya jhum ke utthe hain tinkon se na tale jaenge
katte bhi chalo, badhte bhi chalo, bazu bhi bahut hain sar bhi bahut
chalte bhi chalo ki ab dere manzil hi pe dale jaenge
ai zulm ke mato lab kholo chup rahne walo chup kab tak
kuchh hashr to un se utthega kuchh dur to nale jaenge

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close